Junaid’s Poetry (OwN)

7708 views 117 replies
Reply to Topic
junaidrauf

Age: 124
Total Posts: 95
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Posted 21 Apr 2005

junaidrauf says
khuwaaboon ko bhee ankhoon main proonay nahe daitaa
wo shakhs kio mujhay chain say sonay nahe daitaa,

honay nahee daitaa mujhay gum zaat main apnee
aankhon main dunya bhee samonay nahee daitaa.
Posted 03 May 2005

junaidrauf says
Tum Kahti ho k Masroof karloon Khud ko
Kissi Kaam mein
Duniya k Tam Jham mein
Kiya Samjhti ho aissa nahi kiya hogga mein nay?
Mein nay jo Kama bhi kiya
uss mein tumhain Paya
Har Awaz mein Tumhain Goonjta Paya
Bohat Chaha Ji ko Bahlana Magar
Bay Bas apne aap ko Bohat Paya
Sochon par apni Pehry Laggay magar koi Faida nahi
Hawa k Jhonkon ki Tarhan hoti hain Yaadien
Hawa pay kiss ka Zor chalta hai Bhala
Jab Ubharti hai Teri Tasveer Dar-o-Deewar par
To Tum he Battao kiya karoon mein
Jab Apne he Wajood mein Tera He AKS dekhoon
Jab Apni he Sansoon se Teri Mehak aye
Jab Dharkain Tera he Naam Pukkarain
Jab Nas Nas mein Tera Pyar Dorta ho
To tum he Battao JANNA!
Mein yeh Kaisse na kahoon
K MERE DIL PAR MERA ZOR NAHI!
Posted 03 May 2005

Fairl_Girl says
Posted 04 May 2005

cutefriend says
Posted 04 May 2005

I'll get back to u .. abhi busy :(\
Posted 04 May 2005

junaidrauf says
Thanks Frds Wots Up WOL
Posted 04 May 2005

junaidrauf says
Dhoop k Safar mein Badlun sa Lagta hai
Piyaas k Sehra mein Chagalun sa Lagta hai

Gum rakhta hai kuch aisse Shoq-e-Safar ussy
Hamsafar Mera mujhy Paglun sa lagta hai
Posted 04 May 2005

cutefriend says
Posted 05 May 2005

junaidrauf says
Posted 05 May 2005

junaidrauf says
Khwabon ko Sanbhak Rakhna
Dekho kahin yeh Tot na jaien
Jo Khwab Mil kar dekhy hain
Woh Qeemti hain Bohat
Nazuk bhi hain Bohat
Inn Khwabon ko Sach karna Baqi hai abhi
Mohabbat ko Ammar Karna Baqi hai abhi
Dekho Abhi Mushkilain Bohat Aaien gi
Toofan Uthaingay
Andhiyan bhi bohat Aaiengi
Tum Inn Mushkilon se Magar Ghabrana nahi
Khwabon ko sach karna Asan nahi Itna
Bas Mujh par Yaqeen Rakhna
Tera Yaqeen he Mujh ko
Dayta hai Agy Barhna ka Hosla
Tujh ko Pany ki Chah mein Barhta jata hoon Mein
Yeh Khushi Dil mein Liye
K Manzil pay Tu Banhon k Har liye
Tu Swagat karryga mera
Mein Takkan sari Bhool kar
Chupa loonga khud ko Teri Aghosh mein
Posted 06 May 2005

junaidrauf says
Tu Bhi Agar na mila to kiya hogga?
Ik naya Zakham milyga
Ik Naya Dard hogga
Ik Kasak Dil mein or rah jayegi
Yeh Zindagi to Rog ban jayegi
Maut ho Naseeb aissa kahan Mera Muqadar
Khudkushi karny ki Himmat kahan mujh mein
Jeena to parry ga Laikin
Yehi Sochta hoon Mein
k Zindagi kaisse Basar hoggi
Najany Sham se kaisse Sehar hoggi
Han magar Dard ki na koi Kami hoggi
Ankh mein Ansoon ki Nami hoggi
Sukoon to milyga nahi phir kahin
DIL par bany Naqsh Mit tay nahi yunhi
Yaddien bhi Sanson k Saath Saath Chalti hain
Kiss Qadar Aziyat or Kitna Karb Hogga
Meharban jany kab Mera RAB hogga
Kab Millien gi Rahatain
Jeevan mein kab Sukoon hogga
Tu to Bhool jayegi Mujhy hai Yaqeen
Nai Duniya mein Gum hokar
Milly ga Pyar to Nikhar Jayegi
Zindagi teri to Sanwar jayegi
Dhundhla Jayega Yaddoon ka Aainaa
Waqt ki Dhool urry gi Jab
Tujhy Fursat milly gi kahan
k Beety lamhoon ko Yaad karry
Waqt Apna Barbad Karry
Teri APni Zindagi hoggi
Har Taraf Khushi hoggi
RAB tujh par Meharban hogga
Tere Sar par to SAIBAN hogga
Han mein magar rahoonga Yunhi Sada
Bay Sukoon,Bay Asra!
Posted 06 May 2005

wow nice ji
Posted 06 May 2005

Raiza Raiza mujhy tu Kar k Sanam
Yun Fiza mein urra na jaye kahin

Posted 06 May 2005

junaidrauf says
Thanks
Posted 07 May 2005

cutefriend says
gud work
Posted 08 May 2005

Gud
Posted 08 May 2005

junaidrauf says
Thanks Friends!
Posted 09 May 2005

love hurts says
ure poems are quite gud keep it up guys...ure poems are quite gud keep it up guys...
Posted 10 May 2005

junaidrauf says
Thanks
Posted 11 May 2005

Freddy says
mashallah sei kya baat hai app ki poetry ki janab....
kya app mujay apni shagirdi mai lena pasand kareen gey ??
asal mai mujay shook hai magar woe kya hai na kay wazan nahi paeda ho raha sheroon mai.......kuch help mil sakti hai ess baray mai ?

kuch namukal ghazals paeshei khidmat hai ..meharbani farma kay kuch eslaah tu kaar dejeyee




NA ROOK SAKI KAY DOOB JANAY KAY DIN HAIN
KISI KAY AAJ HOSH URADANAY KAY DIN HAIN

SUNG RAHAY APNAY NA CHAND NA TARAY
KISI KO AJJ PHIR AAZMANAY KAY DIN HAIN

NA SHIKWA KEA, JO TOOTA HUM SEI DIL
USSI MEHJABEEN KO MANANAY KAY DIN HAIN

KEYA QAIS KO ZAMANAY NEIN RUSVA
ZAMANAY KO RUSVA KARANAY KAY DIN HAIN

TAPTI ZAMEEN PAAR RUKHAY HIAN SIR
KHAAK GARDISHOON KI URDANAY KAY DIN HAIN

LUGI HUM PAY TUHMAT JAFAOON KI freddy
JIGAR APNA CHALNI DEKHNAY KAY DIN HAIN



Tareef apni ka taleeb nahi hoon mai
sher kehta hoon ,shayer nahi hoon mai
dhondatay hain meray sheroon mai wazan
koi en ko batlayee bheya,ghalib nahi hoon mai
suna jo mujay,niklay mir o ghalib kabar sei
elaazm hai muj pay,ghoorkan nahi hoon mein









machalti hansi ko yun tera kaboo karna
kabi chasmay-mehgoon(nasha avaar aankh)
ka ro-baroo karna

mileen gey qayamt mein muskura kay tera kehna
woe mera haar rooz qayamaat ki aarzoo karna


dekhana yun jalway bana kay bahanay
woe mera deed ki justagoo karana


woe larna jagarna ,mun moor lena
yun shook aatish ore afzoon(barhana) karna


na khana na peena na uthna na soona
hayee! tera khera-o-sir(sarkash,baghi) pay jadoo kaarna



hai mohabaat he apna aab orna bechona
ya rub! ehlay~nazar ko surhroh karna

Posted 14 May 2005

Freddy says

aik tu tum nein bolayaa ore hum nahi ayay :(
upaar sei itni hoyee petayee kay abaa yaad ayee
mara hasenoon nein jutay badal badal kay
kasoor tha sirf itna hehehe aab tumheen kya batayeen.

bachayaa na kisi nein muj masoom ko pitnay sei
rootay rahay ,pitTay rahay detay rahay dohayee
choot lugi hai kuch ayesi he juga paar....
sharam aa rahi hai lagatay hoyee davayee....

end mein mukta aarz hai

yaad tumheen kartay hain aksaar sanam.......phir sochtay hain tum toe ho he parayeee

khuda ki rehmaat pai hai bharosa hameen.....kabi tu metay gi teray dil sei seyahee.
Posted 14 May 2005

junaidrauf says
Faradiya ji kiya baat hai aap ki mujh Nacheez se aap yeh kehti hain k Apni Shagirdi mein lay laien humain aap ki Poetry Masha ALLAh bohat achi hai aap aissa Kah kar hum ko Sharminda na karien bal k aap hum ko apni Shagirdi mein lay lijye.
Posted 14 May 2005

junaidrauf says
Mera Tujh pay koi HAQ to nahi
Phir bhi Magar!
Yeh Chahat hon k
Mere Saath tu rahy Zindagi Bhar
Yeh Safar mill kar tay Karien
Faslon ki Hum Parwah na karien
Aik Doojy ko dekhty hoye
Sapny Nay Bunty hoye
Duniya ki Parwah na karty hoye
Apni Khushi se Jiyen
Iss Bay Rang Zindagi mein
Khushiyon k Rang Bharain
Har Khauf ko mita kar hum
Bas Pyar ki Battien
BAS PYAR KI BATTIEN KARIEN!
Posted 14 May 2005

cutefriend says
hmmmmmmmmm

gud job
Posted 14 May 2005

junaidrauf says
Thanks!
Posted 14 May 2005

junaidrauf says
"Apni Ankhon mein UmeedoN k Deep Jallaye
Kab se Betha hon teri Rah par
k Shayyad kabhi tu aye
Meri Zindagi Sanwar jaye
Mein bhi phir GaoN Mohabbat ka Tarana
Bhool jaoN mein yeh Gham ka Fasana
Bhula kar Zamany k har gham ko
Lgalon Gally se mein Humdum ko
Honton se Hont phir Baatien karien
Hum tum mill kar Pyar ki Baatien karien
Apni Ankhain Moond kar
So jaon teri Aghosh mein
or phir kabhi
JagooN na Neend se!
Aao aab a bhi jao
Sapan mera yeh Sach kar bhi jao
AAO!!!!!!
Posted 14 May 2005

junaidrauf says
"TERE CHEHREY PAR PHELI HOI HAIRRAT
Ankhon ki Hairrani
Mera Deewangi se Dekhna tujh ko
Taktty rahna bus tujhi ko
Tera Honton ko Sakorna
Kabhi mon ko Basorna
Ajeeb Andaz tha Mulaqat ka Woh bhi
Yun lagtta tha 2 Ajnabi mily hon jaisse
Magar~!
Waqt-e-Rukhsat ka woh Walihana paan
Nihal kardayta tha Rooh ko
Kainnat Simatti nazar atti thi
Zindagi bari Haseen nazar atti thi
Kaal tak kay liyan tujh se Bichar kar Jiyen gay kaisse
Yehi Sawal uthta tha Dil main bar bar
Lagta tha jaisse Nabz tham jaye gi
Yeh Sa atain phir na aiengi
Zindagi magar phir millati thi hum ko
Khushi se Hamkinar kartti thi
Yumhi Park ki Beanch par beth kar
Taktta rahta tha ek Tak tum ko
Kiss qadar acha lagtta tha
Teri Ankhon main Jhankna mujh ko
Acha lagta tha Zindagi ko tujh se Bantna mujh ko
Masnoi Jheel kay kinarry hatton main hath dal kar Ghomna
Zulfon ka woh tere Galon ko Chomna
AH!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Magar aab towoh chin gaya sab kuch
Tu hai kuch or main bhi or Kuch
Faqat Yadoon ka Azab
Apne sar par Utthaye phir raha hon main
Yunhi na janny samny ki Beanch par bethy
Jorry ko dekh kar agaya Mazi yaad mujh ko
Woh bhi Yunhi Duniya se Baigany
ek Dosrry ki Chahat main Deewane
Bethy thy najany kab se
Yadoon ko Jhattak kar main chal diya wahan se
Yeh DUA kartta hoa
kay YARAB!!!!!!!!!!
Phir se na 2 Dilon ko Torna
Phir kissi ko kissi se Judda na karna!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Posted 14 May 2005

wafakadard says
JO ASAANI SE MILJAYE WO HAI GAM
JO MUSHKIL SE MILE WO HAI PAISA
JO KISI,KISI KO MILE WO HAI PYAAR
JO NASEEB WALO KO MILE WO HAI HUM
Posted 15 May 2005

junaidrauf says
Wah kya baat ki hai aap nay magar yeh Hum wali baat kuch.....................................
Posted 15 May 2005

wafakadard says


sukria janab

Tute hue pehmane per jaam nahi aata
ishq ke mareez ko aaram nahi aata
ehhh dil todne wale tune yeh to socha hota
ki tuta hua dil kissi ke kaam nahi aata.
Posted 17 May 2005

Reply to Topic