*~~A TaiZ Hawa NaraZ na Ho.,,,,~~*

1403 views 38 replies
Reply to Topic
Doctor Sam

Age: 124
Total Posts: 19257
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan

a taiz hawa naraz na ho

is dil main salamat hey ab tak
wo shokhi-e-lab wo harf-e-wafa
wo naqsh-e-qadam wo aks-e-hina
sou baar jisay chooma hum ne
so baar parastish ki jis ki
is dil main salamat hey ab tak
wo gard-e-alam wo deeda-e-num
hum jis main chupa kar rakhtay thay
tasveer bikharti yaadon ki
zanjeer pighaltay waadon ki
poonji naakam iraadon ki

a taiz hawa naraz na ho


is dil main salamat hey ab tak
samaan bichardti sa'at ka
kuch tukrday garm dopehron k
kuch raizay narm sawalon k
kuch durr anmol khyaloon k

ik saccha roop haqeeqat ka
ik jhoota lafz Mohabbat ka
Posted 05 May 2005

Doctor Sam says
by Mohsin Naqvi
Posted 05 May 2005

subha says
wooow gr88
Posted 05 May 2005

a taiz hawa naraz na ho

:(

Posted 05 May 2005

Doctor Sam says
yes it is really impressive..

now-a-days.. i m readin Mohsin Naqvi...

he is just gr8..

Posted 05 May 2005

ham ko poets kay names yad nahin rahtay :$

and aik aik sher 10 20 bar parhna parhta hay agar, pachand a jaey and yad karnay ka mann ho to lol

this 1 is really nice 1 na :)
and andaz bi alag hay is poem ka, word etc sab superb :)
Posted 05 May 2005

Doctor Sam says
ap ne shayad wo poem nahi parhi...

MAIN TANHA THA..
main kuch din pehle e yahan post ki thi..

wo bhi Mohsin Naqvi ki hey...

wo bhi perhna,....

Posted 05 May 2005

otay I will :)

Posted 05 May 2005



Main tanha tha
magar kal shub
meri aawargi---achi lagi mujh ko
mere humraah thakk kar saans leti
ik naddi--- achi lagi mujh ko
naddi k mouj main chup chaap
ghulti chandni---achi lagi mujh ko
udaasi ordhti shakhon se lamhon ki tarah
jhardtay huye pattay
shagufon ki bujhi khushbu
hawa ki chaal Aaawara
fiza ka baanjh-pann pehne huye malboos-e-bay khwabi
gali koochon main qeht-e-shor-e-dildaaraN
sitaaron ki quba main---tairgi k bay sabab taankay
khala sunsaan
jese maqtalon main naachtay---bay-unt sannatay ki
lou jhankay
barahna paird ,,, jese eestada patharoN ka halqa-e-matam

main tanha tha
main kal shub
firaaq-e-yaar ki rut se galay milti khazaan ki saadgi
achi... bohat achi lagi mujh ko


Posted 05 May 2005

churaa laey ham :D lolz
Posted 05 May 2005

really nice sami doci :)

aap ki choice achi hay waisay :P
Posted 05 May 2005

Doctor Sam says
kesi lagi...?

Posted 05 May 2005

Doctor Sam says
~ ßã£îçh ~ said:

really nice sami doci :)

aap ki choice achi hay waisay :P



thank U..

chalo aor b post kerain gay INSHA ALLAH...

Posted 05 May 2005

ham jhooti tareef nahin kartay kabhi :P

really achi lagi :)

Posted 05 May 2005

Doctor Sam says
Posted 05 May 2005

aur kab post karain gaey :P
Posted 05 May 2005

Doctor Sam says
hmmmm..]

behna.. abhi kuch halaat achay nahi hain warna aaj e kar dete..

Posted 05 May 2005

halaat hmm

otay (F)

ALLAH behtar karen agar koi problem hay to, Amen!

chalain ham intzar karain gaey :)

Posted 05 May 2005

Doctor Sam says
Posted 06 May 2005

Dua_786 says
Very nice
Posted 06 May 2005

Doctor Sam says
Thank U..

Posted 06 May 2005

Doctor Sam said:



ah lo ab tiya chamajh nahin aya ji?
Posted 06 May 2005

Doctor Sam says
kya samajh nahi aaya...

Posted 06 May 2005

wohi to pocha hay ham nay
Posted 06 May 2005

Doctor Sam says
offfffooo...

rehne do...

Posted 07 May 2005

Guest_005 says
dr ji cha gai ho
Posted 13 May 2005

paki_fan says
very nice dr and barish je
Posted 14 May 2005

Doctor Sam says
aadab aadab...

Posted 14 May 2005

paki_fan says
Posted 15 May 2005

Doctor Sam says
Posted 15 May 2005

~CHANDNI~ says
Ik din door say paas aa kar dekho
in aankhon kay samandar mein doob kay dekho
tum mujh mein mujh ko dhoond kay dekho

rooh ki roshni, meri hasti ko choo kay dekho
lehjay ki narmi, meray ilfaaz ko samjh kay dekho

duniya, jungle, sehraa, sab chaur kay dekho
iss dil ki basti mein bas kay dekho

dabi umangon, aarzuon ko aazaad kar kay dekho
sachi chaahat ka iqraar kar kay dekho

urtay rang, khilti kalyon ko dekho
khulay aasmaan talay, zindagi ko janam laitay dekho

kabhi to faasilon ko darmiyaan say hattaa kar dekho
tum ik din door say paas aa kar dekho
Posted 15 May 2005

Reply to Topic