" RIYA KARI "

13397 views 41 replies
Reply to Topic
Ashii

Age: 124
Total Posts: 31001
Points: 0

Location:
France, France
RIYA KARI kisse kehte hein
(or reya kari)
mujhe aaj tak iss ka matlab samajh nahi aa saka

??
Posted 09 Jun 2005

Ashii says
kajuuu
KARO KARI ka nahi pucha




reya kari aik adat hoti hai,,, me ne aise parha hai k "woh shaks reya kar hai"
par iss ka matlab kya hota hai yeh nahi pata
Posted 09 Jun 2005

guest. says
mishtake!..
hota hai kabhi kabhi!

waisay matlab tou hamay bhi nahin pata iss word ka
waisay word positive adat ki taraf ishara karta hai ya negative??
Posted 09 Jun 2005

means "showing off"
more details later
Posted 09 Jun 2005




I think itna clear nahin dikh laha to ...

reya = zaher dari ,, dhoka

reya kaar = munafik,makkar

reya kaari = makkari,, fareb

Chall
Posted 09 Jun 2005

Ashii says
ahhh okkkiiiiiiie,,
sd n balichh thanksss



o kajuu,,, koi baat nahi
hota hai,,





chalo meaning to pata chal gae,, ab agay bhi boliye kuch
im waiting
Posted 09 Jun 2005

guest. says
agay kia kehna hai!
ghalt habit hai yeh tou agar kisi mein hai

kis tarahn khatam ho sakti hai yeh adat!..os baray mein baat ho sakti hai
Posted 09 Jun 2005

Ashii says
ghalt to hai hi,,, kisse nahi pata yeh
reya kari ka lafzi matlab to pata chal gaya,, par real life mei kya kuch reya ki hadd mei aata hai

??
Posted 09 Jun 2005

guest. says
waisay bohat common si example hai

jaisay pak mein kuch loag!..begger hotay hein banay hue!
per asal mein un ko physical prob nahin hoti koi!
bas aisay he acting hoti hai un ki!

recently my uncle was telling me abt a guy!..who wud pretend tht he was handicapped n beg!
he told evry1 tht he had a broken leg!
n 1 day..my uncle saw him walking perfectly!..widout any prob!

yeh bhi tou fareeb he k hisay mein aata hai na
Posted 09 Jun 2005

There is alot that can be said about it. It is a disease of heart (spiritual heart) and the entry door for satan in it. It exists among most people except those who keep a check on their intentions.

Allah swt says: " O you who believe! Do not render in vain your Sadaqah (charity) by reminders of your generosity or by injury, like him who spends his wealth to be seen of men, and he does not believe in Allah, nor in the Last Day."

Likes of one who does good (worship, charity or any righteous deed) to be only seen and praised by people, believes not in the reward from Allah on the day of judgment.

Cure for this disease is to believe in Allah and only seek reward from Him. Allah only rewards for works done with full sincerity toward Allah alone.
Posted 09 Jun 2005

Ashii says
see kaju s talking abt those jinn ki help ki jati hai
and sd baat kar rahe hein unn ki jo help karte hein

dono taraf hi dhoka, jhoot aur numaish hai
Posted 09 Jun 2005

deceit is different from showing off. Showing off good genuine works is what falls in the category of RIYA'.

False claims of good works or seeking sympathy for non-existant situations or decieving people fall in the category of fraud and deceit.
Posted 09 Jun 2005

guest. says
actually!..sab ek say nahin hotay!
kuch wakai zarurat-mand hotay hein!
or kuch wakai ALLAH ki raza or khushi k liye insaano ki help kartay hein
Posted 09 Jun 2005

Ashii says
Smooth_daddy said:

deceit is different from showing off. Showing off good genuine works is what falls in the category of RIYA'.

False claims of good works or seeking sympathy for non-existant situations or decieving people fall in the category of fraud and deceit.


ahh okkkiee,,
das ist claar






obviously sab bure nahi hote,,,,,
par ache itna chup k bethe hote hein k basss,,,,,,,,
Posted 09 Jun 2005

guest. says
exactly!
or sab say ajeeb baat yeh hai k logon k fareeb ki wajah say!..zarurat-mandon per bhi banda shaq karta hai k shayed yeh aisay he fareeb day raha hai!
Posted 09 Jun 2005

Ashii says
pehle me bhi aise hi sochti thi kaju
par aik baat meri samajh mei i hai,,, hum log soch samajh k agle bande ko judge kar k uss ki madad karte hein,, iss liye k hamari NAIKI zaya na ho,,, yani k madad karte hein hum naiki kamane k chakkar mei, Allah miyan k khushi k liye nahi

reya to yeh hua na,,,,



jahan tak baat hai unn logon ki jo humein dhoka de rahe hein to yar yeh to aik long term process hai jo kahin na kahin se aur kissi ko to start karna hi hai,,,
apne society k halat theek karna hamara farz hai, govt ka nahi....
ache logon ka kaam bure logon ko sahi raste pe lana bhi to hai,, yehi to nahi k apne liye hi naikiyan kamate rahein,,,,,
khair yeh to alag hi baat start ho jae gi,, hmm iss ka taluk shayd mere doosre topic se hai
Posted 09 Jun 2005

guest. says
yup!!...yehi hota hai ajj kal!
Posted 10 Jun 2005

SALL said:

pehle me bhi aise hi sochti thi kaju
par aik baat meri samajh mei i hai,,, hum log soch samajh k agle bande ko judge kar k uss ki madad karte hein,, iss liye k hamari NAIKI zaya na ho,,, yani k madad karte hein hum naiki kamane k chakkar mei, Allah miyan k khushi k liye nahi

reya to yeh hua na,,,,



But who do you earn goodness from other than Allah. Seeking goodness or ajar for it from Allah is the same as seeking rida / pleasure of Allah.
Posted 10 Jun 2005

Ashii says
SD yar i ve learnt k fark hota hai

Allah miyan ki khushnudi liye kuch karna alag baat hai
aur
jannat or sawab kamana alag baat hai
aik kaam ap karte ho Khuda ki zaat k liye,, aur doosra apne liye

will explain later,, or i ll miss my train
Posted 10 Jun 2005

Ashii says
han jii,, back,,,
hmm,,,
ab aur kya kahu keh to diya hai

i beleive k achai karo Allah miyan k khushi liye na k janant aur sawab liye
aur burai se khud ko roko Allah miyan ki narazgi se bachne k liye na k dozakh k darr se

its like,, hmmmmm
kissi ameer shaks k 2 bache,,, aik apne parents ki bohoottt khidmat karta hai iss liye k woh unn se bohot pyaar karta hai,, doosra uss se bhi parh k khidmat karta hai but just to inherit more important part of parent's wealth

zahir mei to dono aik se hein,,,,, par asal mei kaun behtar hai
Posted 10 Jun 2005

guest. says
nice example!

per ek baat aisay he demagh mein aai hai!..woh yeh k dozakh bhi tou ALLAH ki taraf say hai na!
i mean to say!..ALLAH jis say naraz ho ga,buray amaal ki wajah say,osi ko azab ho ga na!
tou abb banda ALLAH ki narazgi say bachnay k liye achay kaam karay ya dozakh k azab say bachnay k liye!
hai tou ALLAH k liye he na!
Posted 11 Jun 2005

Ashii says
hmmm,,
me alim wagera to hu nahi yar, sirf wohi kehti hu jo dil ya dimag mei hota hai, jo sun k parh k soch samajh k dil ko lagta hai

Jannat aur Dozakh ka zikr to Quran pak mei hai,, so obv unn k wujood se inkar nahi kiya ja sakta
momin ka har din behtar se behtar hona chaiye
iss baat se mera khyal yeh matlab nahi nikalta k aap roz dozen k hisab se naikiyan karo,, par itna k Khuda ki zaat pe yakeen aur Allah miyan se lagan barhti rehni chaiye,,,, jab hum sache dil se Allah miyan ki zaat ko sab kuch maan lete hein to phir kya jannat aur kya dozakh

kehte hein k Allah miyan k sache ashikon ko agar kayamat k din kaha jae k Allah miyan ki khushi issi mei hai k aap log dozakh mei jao to woh hansi khushi dozakh ko kubool kar lein ge

hamare han kuch aisa chakkar hai k bachpan se hi Allah miyan se daraya jata hai, Allah miyan se pyar karna nahi sikhaya jata
once i read an auto-biography of a vv famous paki writer,, aur unhon ne jo baat kahi wakai mere dil ko lagi
he said bachpan se hi mujhe harr aik baat mei yeh kaha gaya k yeh na karo Allah miyan naraz ho ja'ain ge, woh na karo Allah miyan dozakh mei bhej dein ge,, aise na karo gunah mile ga,, waise na karo,,,,,,, yani k aik age aisi i k mere dimag mei Allah miyan ka image apne Molvi sahab jaisa ban gaya,, bari si darhi, laal laal ankhein, haath mei danda aur harr wakt gusse mei

im sure hum sab log kissi ka kissi age mei aise daur se guzre hein jab yeh sab dimag mei hota hai

dozakh aur jannat hamara aim nahi hone chaiye,, aim Khuda ki raza hai,, janant aur dozakh gadhe ki peeth pe parne waale dande ya agay tangi hui carrot ki tarha hein,, dono usse agay bhagne pe majboor karti hein,,
race to woh jeet jata hai par rehta gadha hi hai
yarr gadhe mei aur hum mei kuch to fark hona chaiye



(please correct me jahan me ne kuch galt kaha,, iss liye k yeh meri apni soch hai kahin se parha suna nahi hai... lekin plz araam se)
yeh topic kahan se kahan a gaya
Posted 12 Jun 2005

Smooth_daddy said:

means "showing off"
more details later



feeling proud...like he is the best
Posted 13 Jun 2005

cutefriend says
~ ßã£îçh ~ said:




I think itna clear nahin dikh laha to ...

reya = zaher dari ,, dhoka

reya kaar = munafik,makkar

reya kaari = makkari,, fareb

Chall



Posted 14 Jun 2005

shahrukh khan said:

Smooth_daddy said:

means "showing off"
more details later



feeling proud...like he is the best


kind of but it is more to seek praise from people. Some times to gain politcal milage out of it. Any time when a good thing is done to please one other than Allah (including seeking praise from self) is Riyaa.
Posted 15 Jun 2005

Sall, Allah created Paradise to motivate humans to do good and to reward them wtih it; and created hell fire to admonish people of painful punishment for wrong doing. people react differently to motivational methods. for some encouragement is good enough. others require fear of punishment to hold back from sins. Yet others don't respond to any.

Allah uses terms like "wa mun khashi ar Rahman..." --"and those who fears the most Beneficent..." So doing something to earn a wager in the form of Jannah or to fear wrath of Allah in the form of "An-Naar" is same as to please Allah and to fear displeasing Allah.
Posted 15 Jun 2005

SALL said:

kehte hein k Allah miyan k sache ashikon ko agar kayamat k din kaha jae k Allah miyan ki khushi issi mei hai k aap log dozakh mei jao to woh hansi khushi dozakh ko kubool kar lein ge



baqaul-e-ghalib
ta'at me taa rahe na meh-o-angabeeN ki laag (hehe)dauzakh me daal do koi lekar bahisht ko


hmmm baaqi baatoN se mutaffiq huN. citated wali se nahi, dil ko nahi lagti. ab dekho na, qayamat wale din agar Allah aik ashik ke saath yeh salook kare to yeh to Allah ki shaan ke hi khilaaf hai. this is a hypothetic situation, but created very bad. Allah benayaz hai, USS ki zaat ko bhala kya khushi ke koi dauzakh me jale, balke yeh to USS ki sifaat ke hi khilaaf hai. waisay bhi iss situation se yeh impression milta hai ke goya ashik achi tabiyyat wala banda hai aur Allah nauzubillah dukh dene me khushi mehsoos karta hai. nauuzubillah. ashik ki haissiyat hi kya hai bhala. wadda aaya.

yeh jo bhi kehta hai ghalat kehta hai and i know ke aap nahi kehti, aap ne suna hai. topic aur bhi kahiN se kahIn chala gya. chalo kuch aur sahi.
Posted 16 Jun 2005

I think it is still related.
Riya is the opposite of Iklas.
Iklas is the intention and motive to do something for Allah. Riya is the intention and motive to do the same for someone else.
Posted 16 Jun 2005

Ashii says
DL
dimag nahi khao,,, who said k AISA HOGA
i know Allah miyan khaas kar apne pyaron se aisa nahi kar sakte,,,
kehne ka matlab sirf yeh k jab dunya mei ALlah ki marzi mei khushi se sir jhuka lete hein to akhrat mei aisa kyun nahi hoga,,, kya fark hai ???

doosri baat,,,
mujhe hi kehne mei galti hui shayad,,, jannat k liye ibadat ya naiki karna gunah nahi hai,,, but as we say 'moamin ka har lamha behtar se behtar ki taraf ho'
wot shd b the next step of a beleiver agar woh pehle se hi naik hai ??



Allah miyan k raste mei bhi darje hote hein,, jaise Paighambar, nabi, wali, sufi, muttaki, naik log, aur phir sab se kam darje mere jaise aam log jo na momin hein na kafir
to kya aik hi jaga pe tikke rehna hai kya ??
next step lene mei kya rukawat hai ?????



SD,,,,
Riya is opposite of Ikhlas <--- yeh baat




sher ki first line samajh nahi i
Posted 16 Jun 2005

I'm so glad i could clearify something to someone
Posted 17 Jun 2005

@sall

acha acha zyada hypothetic na baneN aap. hameN sabb pata hai.

well i see there just one line of sher. hahaha may be u mean the first part of that line. issi liye to main ne hehe kiya hai ke mujhe pata tha ke samajh nahi aayegi.

it means taqreeba, takeH log sharab aur shehad ke liye zyada koshish na kareN.
Posted 17 Jun 2005

Reply to Topic