Agar Mohabbat Meri Sachi Hoti!!!!!

1358 views 23 replies
Reply to Topic
HrithikZgirl

Age: 124
Total Posts: 6862
Points: 0

Location:
United States, United States


AGAR MOHABBAT MERI SACHI HAI



Agar mohabbat meri sachi hai to ek din zaroor mila degi

Agar zid meri pakki hai to aey Khuda aasman ko bhi hila degi



Na inkaar kar sakta hai koi meri wafa se, mujhe yakin hai

Par tum sambhalna ek din meri wafa tujhe bewafai ka sila degi



Yeh baat sach hai ke tumne humse pyaar kiya par dusare hi pal bhula diya

Mera pyaar itna aashan na tha na socha tha ke teri mohabbat daga degi



Na bhula sakungi woh mohabbat na voh bewafai, jo tu ne ki

Saza iss se barh ke kya degi ke umar bhar meri mohabbat tujhe dua degi



Agar dum hai meri wafa-e-mahobbat mein to woh ek din, aayega zaroor

Jab meri yaad mein to tarpega par tab tujhe apni mohabbat na degi


Posted 29 Jun 2005

Reply to Topic