Poetry

4644 views 57 replies
Reply to Topic
midnight_angel

Age: 124
Total Posts: 203
Points: 0

Location:
,
Neend bhari hai aankhon mein aur intezaar kerta hun
Dekh meri nazron mein tujhe kitna pyaar kerta hun

Tum na raho paas mere to koi shikayat nahi
Mein dost hijr ka sahi, wasl pe aitebaar kerta hun

Mein ro parrun teri yaad mein jab chaudhween ki raat ho
Mein ik baar jiya tha jab ab baar baar merta hun

Hassas kitna hun mein kisi ko kuch khaber nahi
mein zindagi k khail mein adhoora kirdaar kerta hun

tum door se bulaao gay mein buhat paas aaun ga
tum hud per kharre rehna mein hud paar kerta hun

zindagi tere aane se aur tu na lot k aaye gi
mein phir bhi tere aane per inhesaar kerta hun
Posted 21 Aug 2005

Reply to Topic