... Educated Galz in Pak ...

4857 views 41 replies
Reply to Topic
Ashii

Age: 124
Total Posts: 31001
Points: 0

Location:
France, France
hmmm,, okk one more thing ive been observing since few yrs
time to say it


Pak mei ab bohot log larkiyon ki studies pe zor dete hein,, kam se kam graduate to ab pak mei tareeban harr larki hai,, higher studies bhi karti hein

i met a lot of paki families (in pak, in uk, in france)
they sometimes introduce me to their daughters, daghters in law,, so proudly
"she s MA Eco.. MBA, studying Medical, double MA, Mphil,, etc etc"
Q : aur yeh sab karti kya hein ??
A : shadi ho gai hai,, ghar sambhalti hein




wait wait,,, im not saying aurat ko parhna nahi chaiye,
na hi yeh keh rahi hu k job karna bohooootttt zaroori hai
yeh bhi nahi keh rahi k bachon aur ghar ko chor k sirf prof life ki taraf dehan de

but
mujhe yeh lagta hai k, pehle jiss tarha larki ka khoobsurat, khoob-seerat, ameer etc etc hona zaroori tha,, ab uss ki degrees bhi sirf uss ki "value barhane" k kaam aati hein
that ur in-laws can present u so proudly to their relatives "k hamari bahu kittniiii parhi likhi hai"

hmmm,, meri soch galt ho sakti hai,,,
but i asked a question to a vvv old friend whose fiancee is mba, and after engagement woh ghar pe rehti hai,,, jawab yeh mila k na-mehram k saath job kaise kar sakti hai,,,
Q : hmmmm,,, na-mehram k saath woh parh bhi to rahi thi na
A : me kama sakta hu,, usse job ki kya zaroorat hai
Q : hmmm,, baat job ki nahi hai,, baat aik prof activity ki hai,, jo k sirf paison liye nahi ki jati,, khud ko kaar-amad banane ki baat hai
no answer,,


khair aik zyada important masla
these galz who know well k unhein parh likh k kuch bhi nahi karna,, y do they take place of other students ????
univ mei fixed number hote hein,, larki layak hai usse jaga mil gaya,,, larka parhai mei thora kam hai usse admission nahi mila,,,
but he could b get a better job agar uss ki jaga kissi larki ne nahi li hoti



abhi aur kehne ka mood nahi
ur turn now
(dont take me wrong,, im only talking abt galz who r concerned by this matter,, bohot si aisi larkiyan hein jo k ghar, bachon k saath apni studies / job bohot ache tareeke se chala sakti hein)


plzzzzz
hath hola rakh k............
ps : barae meherbani molvi type answer na kiye ja'ain
(molvi type se matlab lanat malamat waale)
Posted 30 Apr 2006

Reply to Topic