Logo

INsAn

insan tamam mehlooqat main say wehsheeeeeeeeee sabit howa hai.

besheq insan ashraful mehlooqat lakin iss baat sa b inkar naheeeeeee kiya ja sejta k insan ek darinda hai.

past gawah hai k itni tabahi kisi janwer ya darinday nay naheeeeee machai jitni k insan machai.

tow sabit yeh howa k insan ashreful mehlooqat honay k sath sath ek wehshee darinda b hai.

Posted on 5/2/2006 2:04:30 PM

ashraf ul makhlookat hone ka matlab hua k
sab makhlook se afzal
God's finnest creation

hmm,,, 3 dimentional creature bhi kehte hein shayad
animals cant go wrong coz all they do is to follow their instinct,, they kill or attack to protect/defend themselves or to eat
WE humans have more abilities than any other creature
dimag, dil, zuban <-- inn se jo kaam insan le sakta hai aur koi janwar nahi le sakta
but we have power of decision,,, we can choose unlike animals
its up to us k wehshi ban k jiyein ya farishta

afzal hone ki keemat to chukani hi parti hai

Posted on 5/2/2006 9:29:15 PM

bilkul theek saal and mr.ahmed laikin insaan ko darinda sabit karnay say kia hasil ho jaay ga i think kay atleast hum apnay tor pay kuch chund afrad bhi agar mil kar insaniat tak achai ka paygham pohanchain aur duniya main kuch achi examples chornay ka ehad karain to is say kum uz kum insaan ka kuch achay logon pay ahtbaar to rahay ga. hum sub mil kar achi achi batain is forum kay zariay sub friends tak pohanchain aur achay kaam karnay ka jazba apnay friends kay under jagain. gharz k agar insaan aik darinda sabit hai to insaan hi nay duniya main behtareen kurbani aur achai ki examples bhi to chori hain na zaroorat is baat ki hai kay un achi examples ko mashalay rah banain.

Posted on 5/3/2006 1:59:43 AM

GaURI KHAN
AAP KI BAAT BILKUL THEEEEK HAI.HUM ISS FORUM K ZAREEYEH SAY BUHAT KUCH KER SAKTAIN HAI INSANIYET K LEYEH.ACHAY TOPICS BANA SAKTAIN HAI.

LAKIN DEAR BAAT YEH HO RAHEEEE THEEE K AGER HUM YEH DAIKHAIN K ISS DUNIYA MAIN SUB ZEYADA TABAHI KIS CREATION NAY KI HAI.TO HAMAIN PATA CHALAY GA K WOH INSAN HAI.

TOW ISS HAWALAY SAY INSAN EK BUHET BARA DARINDA B SABIT HOWA HAI

Posted on 5/5/2006 4:29:16 PM

Theek hai janab maan laitay hain kay insaan bohot bara dirinda hai to ab is say aagay aap kia kehna chahain gay ta kay yeh topic kuch mazeed aagay barhay. kyun k aap nay sirf insaan kay dirinda honay ki baat ki hai aur agar sub maan lain kay yeh theek hai to ab aur kia kaha ja sakta hai?

Posted on 5/6/2006 1:22:15 AM