Khidki par khade hai (Akash)

1985 views 19 replies
Reply to Topic
akash

Age: 124
Total Posts: 24
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Khidki par khade hai aaj bhi uss CHAND ke didar me...
Jo khoya hua hai hazaro sitaro ke pyar me ....
Kab nazar aayega use ye zami ka pathar jisne khahi hai THOKAR uske pyar me.......... ..


Mit gaye hain sab zakham,
Bas nishaan baaki reh gaya,
Saza puri ho gayi,
Karna gunaah baaki reh gaya.


Yaad mein teri aanhe bharta hai koi,
har saans ke saath tujhe yaad karta hai koi,
maut to sachai hai aani hai,
lekin teri judaai mein har roz marta hai koi....!


door jaakar bhi unse door jaa na sake......
kitne roye kisi ko bata na sake....
dard ye nahi ki woh hame mil na sake....
dard yeh hai ki hum unhe bhula na sake........


na jane kyun hame aansu bahana nahi aata,
na jane kyun hame haal-e-dil batana nahi aata,
kyun sabhi bichad jate hai humse,
shayad hame bhi sath nibhana nahi aata.
Posted 08 Apr 2007

Reply to Topic