kiran
Age: 39
Total Posts: 4177
Points: 0
Location:
Germany, Germany
Khawab o khayal hui hain mohabbatain kaise
laho main naach rahin hain yeh wehshatain kaise
na shab ko chand hi acha na din ko meher acha
yeh hum pe beet rahin hain qayamatain kaise
woh saath tha to khada bhi tha meherbaan kiya kiya
bhicher gaya to hui hain adawatain kaise
azaab jinka tabasum khawab jinki nigah
khinchi hui hain yeh pas jaan surtain kaise
haawa ke dosh pe raakhe hue charagh hain hum
jo bhujh gaye to hawa se shikayatain kaise
jo bekhaber koi guzra to yeh sada di hai
main sang e rah hon mujh per anayatain kaise
nahin ke husn nahin nir nagion main tak nahin
januun bhi khel raha hai sayasatain kaise
na sahiban januun hain na ahl kashf o kama
humare ehad main ayi kasafatain kaise
jo abar hai so woh abb sang wehshat laya hai
baza yeh ho to dilon ki nazaqatain kaise
yeh dor be hunran hain bacha rakho khud ko
yahaan sadaqatain kaise karamatain kaise