Anjan Ban Jana

1164 views 7 replies
Reply to Topic
Rapunzel

Age: 124
Total Posts: 51848
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Tum jao hum say door to ek kam kar jana
Kuch Pal Apne hamare nam kar jana

Agar ajaye mot hamain tere anay se pehlay
To akar hamaray janazay ka ahtram kar jana

Na rona isqadar kay takleef ho hamain
Mout ko bhi Mazak samajh kar Anjan ban jana

Main ek din so jaon gi sada kai liye
Phir mujhay be wafa keh kar badnam kar jana

Jo guzro meri qabar sai to nazrain na pherna
Mehman hi ban kay dua salam kar jana
Posted 06 Jan 2009

Reply to Topic