JanuBaba said:
@shaista
Thanks for the Lyrics
jag said:this was the best part!! lol i was
wondering how come JB wrote all this must have taken a
whole lot of while.. and then i read this!JanuBaba said:
@shaista
Thanks for the Lyrics
JanuBaba said:Yeh watan tumhara hay
Tum ho paasbaan is kay
Yeh chaman tumhara hay
Tum ho naghman khan is kay
Iss chaman kay phoolon par
Rang o aab tum say hay
Iss zamin ka har zarra
Aaftab tum say hay
Yeh faza tumhari hay
Behr o barr tumahray hain
Kehkashan kay yeh jalay
Rehguzar tumharay hain
Iss zameen ki mitti main
Khoon hay shaheedon ka
Arz e pak markaz hay
Qaum ki ummeedon ka
Nazm o zabt ko apna
Mir e karvan jaano
Waqt kay andheron main
Apna aap pehchano
Yeh zameen muqadas hai
Maan k pyaar ki surat
Iss chaman main tum sab ho
Barghubaar ki surat
Dekhna gawana mat
Daulat-e-Yakeen logon
Yeh watan amanat hai
Aur tum ameen logon
Meer-e-Kaarwan hum thay
Ruuh-e-Kaarwan tum ho
Hum toh sirf unwaan thay
Asl daastaan tum ho
Nafraton k darwazay
Tum pe bandh hi rakhna
Iss watan k parcham ko
Sar buland hi rakhna
YouTube
Link
@~tasha~
Thanks for the Lyrics