dard-e-ghum

696 views 10 replies
Reply to Topic
SanaSana

Age: 124
Total Posts: 5562
Points: 0

Location:
San Marino, San Marino
dard-e-gham se bhara raha yoon bhi shanasayi hui
ashk aankhon main thay honton pe hansii aayi hui

hum to asd-e-wafa rakhnay k qaayal hi na thay
phir na janay kion hai aankhon main nami aayi hui

ashk ko humdardiyon ka zariya kion samjhtay hain app
ashk aanay se hi akser meri russwayii hui

dard-e-gham main ab to koi bhi nahi deta hai saath
hum ko ghamgheen dekh ker duniya tamashayii hui

in ghamoon ka kis liye madawa karain hum
in ghamonse hi to akser door tanhayii hui
Posted 14 Aug 2004

Reply to Topic