Logo

* maafi / talafi *

wot do u say ?¿
kya zyada zaroori hai,, Allah miyan se maafi ya phir galti ki talafi ??


reason ?

Posted on 9/25/2004 4:16:07 PM

JI HAAN BOHUT ZAROORI HAI

Posted on 9/25/2004 4:23:21 PM

ulluuuuuuuuuuuuu..
bewakooof,, sahi se parh to liya hota

kya zaroooriii hai ????????????????





question is
Khuda se maafi mangna zyada zaroori hai ya galti ki talafi karna ??
or wot we should do first ?

Posted on 9/25/2004 4:27:56 PM

PEHLEEN MAFI MANGNA PIR TALAFI KARNA

MAFI MANGNA ZIYADA ZARORI HAY AUR TALAFI KARNA ACHI BAAT HAY

Posted on 9/25/2004 4:52:53 PM

well,
sall dear
Allah se muafee jab tuk nahimangeyngey
talafee ka kiya faida..
i mean to say faida tu hai beshuk ke aap aapne kese ghalati ki talafee keren
lekin
first n foremost thing ke Allah tala se pehley muafee mangi jaye...
uskey baad talafee ki baree aate hai...

Posted on 9/25/2004 4:55:37 PM

dont agree..

i m not saying that maafi zaroori nahi,, bilkul bohot zaroori hai
but aap ne kissi k saath bohot bura kiya
jab tak woh shaks aap ko maaf nahi kare ga Allah miyan bhi maaf nahi karein ge
rite ??

so i think galti ki talafi kar k maafi mangna chahiye
warna to sab bohot asaan ho gaya na
aik galti ki,, phir maafi mangi
phir galti ki phir maafi


Allah miyan se maafi to koi galti na bhi ki ho tab bhi mangni chaiye, k anjaane mei kahin koi bhool na ho gai ho
par jab hamari waja se koi bohot nuksaan ho jae to pehle nuksaan sahi karna behtar hai
hmm wot do u say ??

Posted on 9/25/2004 5:48:46 PM


Posted on 9/25/2004 6:02:18 PM

hmm pehlay us shaks say maafi jis say bura kia .. isee liay kehtay hein sooch samaj ker kernay chahyee kaam .. khair hum insan ghalti hoo jatee hai.. tu pehlay us shaks say maafi aur dil main us kay saath kabhee aisa na kernay ka ahad bhee hona chahyee ..

phir Allah say maafi ..

coz ye Haqooq-ul-ibaad main aata hai .. aur Allah nay kaha hai kay wo Haqooq Allah tu mauf ker dein gay laiken Haqooq-ul-ibaad nahi..

Posted on 9/25/2004 7:01:13 PM

hmm
is sense main ager dekha jaye tu i am agreed wid u sall.

Posted on 9/25/2004 7:06:02 PM

imagine hum se kissi ka nuksan ho jata hai
aur hum sirf apni jaan bachane liye nahi batate, chup rehte hein,,
apni galti ko chupane liye jhoot pe jhoot bolte hein
dil mei sharmindagi hai par logon k samne sharmindagi sehne ki himmat nahi hai
aise mei Allah miyan se ro ro k maafi mangte hein

is that rite ??


Posted on 9/25/2004 8:30:30 PM

SALL:
wot do u say ?¿
kya zyada zaroori hai,, Allah miyan se maafi ya phir galti ki talafi ??


reason ?


hmm NICE TOPIC!...well pehele ghalti ki talafi kar lena behtar hay kionkay ap agar ghalti man lo to ALLAH ap ko zaror maf kar deta hay...or phir agar ap ko ALLAH say mafi bhi mang lo to or bhi acha hay...ghaltian to sab say hoti hayn laikin os ko zahir kar dena hi os ka behtareen hal hay...or aik ghalti chupanay kay lie jhot bola jay to 100 jhoot bolnay partay hain is lie behtar hay kay ap os ghalti ki talafi kar lo..

Posted on 9/26/2004 2:54:17 AM

WELL..SALL AGAR KISSI INSAAN KAY SAATH NAINSAFI KI HAY tu obviously uss insaan say maafi mangna zaroori hay..jub tuk wo insaan khud maaf nahin ekrdaita maafi nahin mil saktee..aur sall appnay jo kaha kay sharminda bhi hian per batanay say dartey hian maafi mangnay say dartey hian yeh imaan ki kamzoree ki nishani hay....
IMAAN KI TEEN STAGES HOTEE HIAN..AGAR KOI BURAAEE HORAHEE HAY AAPSAY YA APPKAY samnay tu usko roko, roknay kay liye laro..yeh strong imaan hay..agar rok nahin saktay logon kay samnay kaho accept kero kay yeh burra ho raha hay..yewh thoda kamzor imaan hay agar yeh bhi nahin kersaktay tu us cheez ko DIL mian burra mano.yeh sab say lamzor imaan ki nishaani hay

Posted on 9/26/2004 1:50:27 PM

good yahan to kafi kaam ki batain ho rahi hain

Posted on 9/26/2004 2:06:14 PM

thnx a lot for those who took this topic seriously
subah sana f16 jawad n wafa



wafa
i think im only on 2nd stage,, let pray for all of us k imaan bohot mazboot rahe
agar koi aik shaks bhi yeh comments parh k yeh samajh jae k galti ki maafi mangne ka sahi tareeka kya hai to i ll b really so glad


hmm,, aik cheez jo mujhe samajh nahi aati,, i agree k galti ho jati hai, akhir insaan hei hum
par khud ko insaan sabit karne liye galti karna theek hai kya ??
Khuda raheem o kareem hai, sab galtiyan maaf karne wala hai.. yeh baat to humein yaad reh jati hai
par hum yeh bhool jate hein k woh har aik k saath insaaf karne wala bhi hai

Posted on 9/26/2004 3:33:38 PM

nice

Posted on 9/26/2004 5:21:35 PM

bas hum hi ghalat hain

Posted on 9/26/2004 7:20:01 PM

well sall dear kheriyat tu hai naa

Posted on 9/26/2004 7:24:05 PM

amm... talafi kia hota hei??

Posted on 9/26/2004 9:33:40 PM

sall jee gulti ki talafee tu tub kareen gey jub hameen uss kay gulat honay ka ehsass ho ga ...asal cheez tu ehsas hai .insaan ko jub ehsass hota hai kay mein nein woe gulat kea hai ore mujay uss ki talafi karni chaheyee asal mein wahi paar uss nein khuda sei maafi maang li khuda tu neyatoon ko dekhta hai zaroori nahi kay bakayedaa vozoo kaar kay masalay paar beth kay insaan maafi mangay...
maafi ore talafi asal mein aik he cheez hai ..agar maafi ka khayaal dil mein ayee ga tu talafii kareen gey...

But kuch chezeen aesi hoti hain jin ki insaan talafi nahi kaar sakta waha sirf ore sirf maafi he chalti hai ..
suppose tum gari chala rahi ho kisi ka bacha acchank samnay aa jayee ore maar jayee...tum uss ki talafi kesay karoo gey ?? beshaak ess mein tumhari gulti nahi but you should feel sorry and will try to do something for them but what ?

Posted on 9/26/2004 10:22:41 PM

BadShaH1:
amm... talafi kia hota hei??

Toffe ki choti behen... Tlafi hmm i think kisi chez ko kabool kar lena ya maan lenay ko TALAFI kehte hain...


Posted on 9/27/2004 1:20:33 AM

faradiya:
sall jee gulti ki talafee tu tub kareen gey jub hameen uss kay gulat honay ka ehsass ho ga ...asal cheez tu ehsas hai .insaan ko jub ehsass hota hai kay mein nein woe gulat kea hai ore mujay uss ki talafi karni chaheyee asal mein wahi paar uss nein khuda sei maafi maang li khuda tu neyatoon ko dekhta hai zaroori nahi kay bakayedaa vozoo kaar kay masalay paar beth kay insaan maafi mangay...
maafi ore talafi asal mein aik he cheez hai ..agar maafi ka khayaal dil mein ayee ga tu talafii kareen gey...

But kuch chezeen aesi hoti hain jin ki insaan talafi nahi kaar sakta waha sirf ore sirf maafi he chalti hai ..
suppose tum gari chala rahi ho kisi ka bacha acchank samnay aa jayee ore maar jayee...tum uss ki talafi kesay karoo gey ?? beshaak ess mein tumhari gulti nahi but you should feel sorry and will try to do something for them but what ?


hmm WELL SAID Fardiya..

Posted on 9/27/2004 1:23:37 AM

good fradiya
par mera question ehsaas ho jane k baad ka tha
coz obviously ehsaas hoga tabhi maafi ya talafi ka khyal bhi aae ga

i know kai cheezon ki talafi nahi ho sakti
par jinn ki ho sakti hai hum to woh bhi nahi karte
coz
ZAROORI NAHI JO THEEK HAI WOH HAMARE LIYE BHI THEEK HO
u know wot i mean




talafi <== azaala karna, talaf karna
in other words to cancel, or to balance
matlab k apni galti k badle mei kuch aisa kaam karna k aglay ka (max) nuksaan poora ho sake

Posted on 9/27/2004 3:53:26 PM