Sash Ji Gup Shup CORNER

18952 views 701 replies
Reply to Topic
shaista

Age: 124
Total Posts: 4265
Points: 0

Location:
Antarctica, Antarctica

DEAR JB FAMILY

WELCOME TO OUR JB'S ROZA CORNER....

kyonke jb ka bhabba aaj kal band ho raha hai hum ne yeh corner khool liya!

SUB KO ROZA MUBAREK AUR WELCOME AGAIN!

Posted 15 Oct 2004

Guest_005 says
wooooowwww

Yahan per sab sehri to aftari kar sakain gai .......

YUM YUM,.........

Main nay pehli sehri yahin karni hai .....

Aur SIRF ROZA DAR MEMBERS YAHAN AA SAKTAY HAIN ...............SUN LO KAAAAAN KHOOOOOL KAR SAB
Posted 15 Oct 2004

shaista says
acha raja to aap khana paka kar layeinge?

tab to sub invited hain
Posted 15 Oct 2004

Guest_005 says
mujhay to pakana nahi aata ....

haan jaisa bhi pakaon ga...sab ko khana paray ga thik hai firrrrrr
Posted 15 Oct 2004

friend_16 says
nice .. rozay daroon kay khanay kay ilawa bhee bohat say kaam hotay hein..
Posted 15 Oct 2004

shaista says
yes why not friend f16
mere khayaal main roza corner main ramzaan ke hawaale se har baat honi chahye. aur waise bhi roza sirf yeh naheen hai na ke na khao aur na piyo. balke aur bhi bahut si baatein roze main aati hain
kehte hain na ke roza sirf stomach ka naheen hota, kaan, aankhein, zabaan, sub ka roza hota hai...

Posted 15 Oct 2004

Guest_005 says
IBADAT BHI KARNA HAI YAAD SAY SAB NAY .AUR SPECIAL MEREY LIY DUA ZAROOR KARNI HAI OK
Posted 15 Oct 2004

Guest_005 says
shaista said:

yes why not friend f16
mere khayaal main roza corner main ramzaan ke hawaale se har baat honi chahye. aur waise bhi roza sirf yeh naheen hai na ke na khao aur na piyo. balke aur bhi bahut si baatein roze main aati hain
kehte hain na ke roza sirf stomach ka naheen hota, kaan, aankhein, zabaan, sub ka roza hota hai...




Posted 15 Oct 2004

friend_16 says
sirf kehna nahi hai amal bhee kerna hai saab nay...
Posted 15 Oct 2004

Ashii says
ooo gooooooooddd,,

it means hum apna roza yahan rakh sakte hein
par kissi ne yahan se chura liya to
Posted 15 Oct 2004

Guest_005 says
Haan Amal bhi karna hai ...

yani merey liy dua karni hai .sab nay ......thik hai na
Posted 15 Oct 2004

friend_16 says
roza bhee koi choranay ki cheez hai... ..

haan na saab nay aik dosray ko yaad rakhna hai ramazan main..
Posted 15 Oct 2004

Ashii says
nahi jii
dua nahi kar sakte hum
woh bhi free mei,, no wayyy




areyy yahan yeh itne chor jama hein
kya pata chori kar hi lein
Posted 15 Oct 2004

friend_16 says
jo bhee choor hai .. atleast ramzan main tu .. wo bhee roozay main tu chori nahi karay ga ... don't worry..

Sall dua free main nahi hoti ... is kay ajar hamain zaroor millay ga Allah ka paaas (in the end) .. insAllah..
Posted 15 Oct 2004

Ashii says
ajar Allah miyan se mile ga
aur dua auron k liye karu me

aik deig lage gi
Posted 15 Oct 2004

friend_16 says
hmm ok .. deal ye ker lein kay ap hamaray liay dua karain hum app kay liay .. kia khayal hai?
Posted 15 Oct 2004

shaista says
hi, searched for the text or something of saif malook. got this. really like it. hope u all will like it too....

if u have more..... i hope to see it here


Awwal hamd sanaa Ilaahi
Jo maalik har har daa
Uss da naam chataaran waala
Har maidaan na har daa

First, all praise is for Allah
Who is the Lord of all
He who recites his Name
Never will lose in any field!


Mard Allah day sirr e Ilaahi
Ay kooii bhaid niraala
Ikko nazroon saaf banaway
Mera murshid damree waala

(Real) Men are the Divine Secret
This is a strange mystery
With one gaze he can purify—
My Spiritual Guide the Damri Wala


Har mushkil dee kunjii yaaro
Hath mardaan day aayii
Mard nigaah karan jis vialay
Mushkil raway na kaarii

The key to every difficulty
Is in the hands of such men
When they look at you just once
Difficulties no longer exist!

Vah kareem Ummat da waali
Mehr shifaat kardaa
Jibrail jiehay jisday chaakar
Nabiyaan da Sarkar da


Bravo O you gracious protector of your Ummah
A sun which intercedes
The likes of Gabriel are his servants
-The Chief of all the Prophets!


Nur Muhammad roshan aaha
Aadam jaddoon na hoya
Awwal aakhir doway paasay
Oho mal khalooiya!

The Light of Muhammad shone
When Adam was still uncreated
Both stations of First and Last
He alone occupies alone!

[This refers to the Sunni belief that the Prophet was the first creation of Allah and the hadith of the Prophet, “O’ Jabir, the first thing Allah created was the noor of your Prophet” and the hadith, “I was a Prophet whilst Adam was still between water and clay” and many others support this; the verse also alludes to these hadith. The Prophet was thus the first to be created of the Prophets and the last to be sent.]

Isa khaak unhaan day dar dee
Gin tayammam kardaa
Taiheen dast e mubarak usadaa
Shaafii har zarrar daa

Jesus takes the dust from his doorstep
And makes his ablutions with it
That is why his blessed hand was
Able to heal all the sick!


Kee kuchh naat tussadee aakhaan
Khalqat day sardaara
Laakh salaat salaam teray tay
Laakh durood hazaaraa

How can I laud you?
O Best of all Creation!
Millions of blessings upon you!
Billions of salutations upon you!

Sukhan nahin koii hunda mehkee
Terii shaan qadr daa
Taha tay Yasin Ilaahi
Sift tusaadee kardaa


I have no words of praise
Commensurate with your status
“Ta Ha” and “Ya Sin” The Lord
Calls you with these qualities!

Bahut izzat lawlaakii tehnoo
Kii main sift sunaawaa
Aal Ashaab samait salaama
Hor durood puchaavaa

”But for thee” is enough praise for thee
Which qualities of thine can I add?
Millions of blessings be upon you
And upon your Progeny and Companions!

(This refers to the hadith qudsi, “Lawlaka lawlaka maa khalaqatul aflaka” and “Lawlaka lawlaka maa khalaqtul duniya” (But for thee (O Muhammad sal Allahu alayhi wa sallam) I would not have created the heavens) and in the second version “..the world”.)

Aal Awlaad terii daa mangtaa
Main kangaal ziyaanii
Pao khair Muhammad taiin
Sadaqa Shah i Jilani!

I am a mendicant of your descendents
I am penniless and sinful
Give me some charity
For the sake of Shah Jilani!

(Shah Jilani i.e. Shaykh Abd al Qadir al Jilani al Baghdadi, founder of the Qadiri Sufi Order and the greatest of the awliya by consensus after the Salaf till the coming of the Mahdi alayhisalam.)

Wah wah meeraaN Shah e Shahaan daa
Sayyid Do Jahanii
Ghaus ul Azam Pir piraaN daa
Hai Mahboob e Rabbani!

Bravo O Chieftain, King of kings
Master of Both the worlds
Ghaus ul Azam is the saint of saints
And the Beloved of The Lord!

(Ghaus ul Azam: (Arabic: al-Ghawth al-‘Azam: The Greatest Succour: another title for Shaykh Abd al Qadir al Jilani.)



Rehmat da miinh paa khudaaya
baad sukaa kar hariya
booTa aas umeed meri da
Karde mevay bhariya

Send a rain of mercy O’ Lord
Make the land verdant after being parched
Cause the plant of my hopes and desires
To become fruitful again.

MiTta maiva bakhsh jiya
Qudrat dee rakh shirin
jo khaavay ro usdaa jaaway
door hovay dil geeree

Give me such sweet fruits
Place natural sweetness in them
So that whoever eats thereof, his anger vanishes
And his sorrowness departs!

Lakh varii jay itr gulabon
Toiiyay nit zabaanaa
Naam unhaa day laaiq nahin
Ki kalimay da kaana

If you wash your tongue a thousand times
With the attar of roses
It is still not worthy to say His name
What then of the Kalima?

Main neevan mera murshid uccha
Te main ucchiyaa day sang laii
Sadaqa jaavaan unhaan ucchiyaa taaii
Jinhaa neviyaan naal nibhaaii

I am lowly my spiritual guide is high
And I have linked my end to the high ones
May I die for such lofty ones
Who have protected the lowly ones!

Posted 15 Oct 2004

~CHANDNI~ says
nice shaishta
Posted 15 Oct 2004

shaista says
thanks!

mujhe yeh kalaam ache lagte hain lekin kaafi mushkil bhi hote hain is liye acha hai ke saath main english bhi hai...

Posted 15 Oct 2004

Guest_005 says
nice v nice SASH JI
Posted 15 Oct 2004

~CHANDNI~ says
ok kaisa   gozar raha   hay \app ka roza..
and pahla roza mubarik ho sis app ko
Posted 15 Oct 2004

shaista says
thanks sis, tumhain bhi bahut mubarek ho, advance main hi..

ab to roza sirf 5 and a half hour purana hai, agle 5 hours main dekhein hota hai kia....

inshallah theek rahe ga.

loog kaise keh dete hain ke roza rakha hai lekin sardiyon ke roze ka kia, kuch patta hi naheen chalta... mere khayaal main aggar roza sirf 1 ghante ka bhi ho na, roza roza hota hai aur woh dikhla hi deta hai ke deikh bhuuk kiya cheez hai....

Posted 15 Oct 2004

5 hours and 12 minutes left...ramzan mubarak..pak main kal hoga
Posted 15 Oct 2004

pak main kitne ghante ka roza hoga?
Posted 15 Oct 2004

~CHANDNI~ says
shaista said:

thanks sis, tumhain bhi bahut mubarek ho, advance main hi..

ab to roza sirf 5 and a half hour purana hai, agle 5 hours main dekhein hota hai kia....

inshallah theek rahe ga.

loog kaise keh dete hain ke roza rakha hai lekin sardiyon ke roze ka kia, kuch patta hi naheen chalta... mere khayaal main aggar roza sirf 1 ghante ka bhi ho na, roza roza hota hai aur woh dikhla hi deta hai ke deikh bhuuk kiya cheez hai....

..
ALLAH ka lakh lakh shokar hay
ALLAH   nay hamy har chiz say nawaza hay


Posted 15 Oct 2004

shaista says
haan, humain khuda ka bahut shukkar ada karna chahye. humain kia patta bhuuk kia hai aggar hum un logon ko dekhein jin ke paas ap ka khana hai lekin agle pal main hoga ya naheen woh unko naheen patta.....

roza mubarek
srk, kitne bajje iftari kar rahe hain aap
aur roza hai kia?
Posted 15 Oct 2004

Guest_005 says
hmmmmmmm nice
Posted 15 Oct 2004

sharara says
bhook se haal behaal hai..
but im making nice nice htings :D
Posted 15 Oct 2004

shaista says
acha to kia bana raheen hain,sharara?

Posted 15 Oct 2004

Guest_005 says
sharyyyyyy kahan hooooooon ??????
Posted 15 Oct 2004

shaista ik ben toch niet in pak sab ka roza hai yahan...18:54 par iftaar karien gey
Posted 15 Oct 2004

Reply to Topic