Logo

Na tera Khuda koi or hai

Na tera Khuda koi aur hai
Na mera Khuda koi aur hai
Yeh jo raaste hain juda juda
Yeh mamla koi aur hai

               Kyoun nahin dekhta jahan mein
               Har shela bedud hai
               Jab uthi nigah to jhuk gayi
Yeh mamla kuch aur hai


Allah Allah Allah...

Yeh pahaar, darakht aur qainaat
Jab jhuke hain sajood pe
Na tu ban saka na bana saka
Woh phir bhi na tujh se juda hua
Yeh sab usi ke hain faisle
Tu jaan kar bhi anjaan hai

               Na tera Khuda koi aur hai
               Na mera Khuda koi aur hai
               Yeh jo raaste hain juda juda
Yeh mamla koi aur hai


Kyoun shirk mein hai pasa hua
Kyoun door se tu door hai

Allah Allah Allah


Kyoun shirk mein hai tu phasa hua
Kyoun door se tu door hai
Kyoun ghoomta hai
Yahan wahan
Nahin ila koi aur hai

               Na tera Khuda koi aur hai
               Na mera Khuda koi aur hai
               Yeh jo raaste hain juda juda
Yeh mamla koi aur hai


Jise dhoondhta hai yahan wahan
Dil mein tere maujood hai

Allah Allah Allah


Jise dhoondhta hai yahan wahan
Dil mein tere maujood hai
Jise mil gaya ek baar woh
Usi dil mein asr-e-wajood hai

               Na tera Khuda koi aur hai
               Na mera Khuda koi aur hai
               Yeh jo raaste hain juda juda
Yeh mamla koi aur hai


Jo parhadiya insaan ko
Mehman hai raheem hai

Allah Allah Allah


Jo parhadiya insaan ko
Rehman hai raheem hai
Jab paas thi toh kitaab thi
Parhaadiya toh Quran hai

               Na tera Khuda koi aur hai
               Na mera Khuda koi aur hai
               Yeh jo raaste hain juda juda
Yeh mamla koi aur hai


Phir ibaadaton ke hain silsile
Phir kurbatoh ke daur hain

Allah Allah Allah


Phir ibaadaton ke hain silsile
Phir kurbaton ke woh daur hain
Jo na jhuk saka woh na paa saka
Yehi silsila har daur hai

               Na tera Khuda koi aur hai
               Na mera Khuda koi aur hai
               Yeh jo raaste hain juda juda
Yeh mamla koi aur hai


Tu kyoun poojta hai insaan ko
Allah hi toh mabood hai

Allah Allah Allah


Tu kyoun poojta hai insaan ko
Allah hi toh mabood hai
Phir kyoun hai tu gharoor mein
Jo na jhuk saka toh firod hai

               Na tera Khuda koi aur hai
               Na mera Khuda koi aur hai
               Yeh jo raaste hain juda juda
Yeh mamla koi aur hai


Ik baar tu phir sochle
Ik baar tu phir sochle
Wohi Rab-e-al shekareem hai

Allah Allah Allah


Ik baar tu phir sochle
Wohi Rab-e-al Shekareem hai
Jo na jhuk saka woh mit gaya
Yehi silsila har daur hai

               Na tera Khuda koi aur hai
               Na mera Khuda koi aur hai
               Yeh jo raaste hain juda juda
Yeh mamla koi aur hai


Ya Rab mujhe tu baksh de
Ya Rab mujhe tu baksh de
Ya Rab mujhe tu baksh de
Ya Rab mujhe tu baksh de
Ya Rab mujhe tu baksh de
Banda toh gunahgar hai

Allah Allah Allah


Is aas par para houn mein
Sajde pe Rabe Kareem ke
Jo main gir gaya tha mukaam se
Tu to Rab-e-Ali mukaam hai

Allah Allah Allah


This is a Hamd by Najam Sheraaz...
I love it......U guys should listen to it...if u havent...its very touching...


Posted on 11/21/2004 11:08:45 PM

i love it too....

really very touching and what a voice!!!

Posted on 11/22/2004 11:41:37 AM

ahaan..
its really really very nice,,,

Posted on 11/23/2004 1:41:46 AM

i know its is indeed a very touchy hamd..

i enjoy every word of it....i almost listen to it everyday

Posted on 11/23/2004 4:49:38 AM

I agree itz very nice... I love it

Posted on 11/23/2004 6:08:03 AM


Posted on 12/12/2004 11:14:24 PM


Posted on 12/12/2004 11:24:38 PM