Logo

Mujh se pehli c Mohabbat ....!

Mujh se Pehli c Mohabbat mere mehbooob na Mang...!

main ne samjha tha k Tu hey to darakhsahan hey Hayat
tera ghum hey to ghum-e-dehr ka jhagrra kya hey
teri soorat se hey aalam main Baharon ko sabaat
teri aankhon k siwa duniya main rakha kya hey

Tu jo mil jaye to taqdeer niguN ho jaye
Yun na tha main ne faqat chaha tha, Yun ho jaye

Mujh se Pehli c Mohabbat mere mehbooob na Mang...!

Mujh se Pehli c Mohabbat mere mehbooob na Mang...!

Un ginat sadiyon k tareek baheemana talism
resham-o-atlus-o-kamkhawab main bunwaye huye
jabaja bikhray huye koocha-o-bazar main jism
khaak main lithrray huye khoon main nehlaaye huye

Laut jati hey udhar ko b nazar kya kijye
ab bhi dilkash hey tera husn Magar kya kijye

or bhi dukh hain zamanay main Mohabbat k siwa
rahtain aor b hain wasl ki rahat k siwa

Mujh se Pehli c Mohabbat mere mehbooob na Mang...!

Sung by Noor Jehan Poetry by: Faiz Ahamd Faiz

Posted on 2/10/2005 8:07:11 PM

one of my favvvvvvvv..

missing shers
.......
khaak mei lithre hue
khooon me nehlae hue
""jism nikle hue amraaz k tanooron se
peepe behti hui galte hue nasooron se""
laut jaati hai udher ko bhi nazar
kya kije
ab bhi dilkash hai tera husn magar
kya kije

FAIZZZ the best

Posted on 2/10/2005 8:44:45 PM

happy to c some one with good sense of poetry, Faiz ko pasand kerne ka matlab, poetry ka acha zouq.
Infact main ne ye nazm yahan post b isliye ki thi just to find out a person with acha Zouq.
Well, ye main ne Noor jehan ki gaai hui nazm post ki thi, usmain ye lines nahi hain, correction rather addition ka shukriya,
Faiz ki Bahar aayi perhi hey aap ne Sall?

Posted on 2/10/2005 10:28:05 PM

yep u r rite
yeh gae hue version mei nahi hein line




ooo yesss,,
bahaar aa aaai
to jaise yak baar laut aae
hein phir adam se
woh khaab saare shabaab saare
........
and tina sani ne itna zabardast gaya hai k bassss..

Posted on 2/10/2005 11:55:38 PM

hmmmmm waqai, tina saani ne bohat khoobsoorat gaya hey.... i always like to listen it... i will try the post this sweeeeeeeet poem here, Insha Allah

Posted on 2/11/2005 12:10:13 AM

i already posted in POETRY CAFE
hmmm,, topic Sall's conrner

par kaffifii pehle

Posted on 2/11/2005 3:28:11 PM

acha... chalain koi baat nahi... Faiz k baray main aap se baat hoti rahay gi, bul k poetry k hawale se... koi achi nazm perhain ya acha shair, zaroor share kijye ga

Posted on 2/11/2005 11:30:30 PM

sure..

i ve complete "majmu a kalaam" of faiz + his recitations by himself and zia mohaiuddin
i will start FAIZ topic in poetry café
keep checking it

Posted on 2/12/2005 3:44:22 PM