AFSANA - IEHSAAS -Aik haqeeqat aik fasana

2771 views 10 replies
Reply to Topic
nice_roni

Age: 124
Total Posts: 114
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Iehsaas


Bachpan mein jab waaldein koyee kitaab ya koyee mutaley ka mawad parha kartey they tau kuch na-aashna se alfaaz kannon ki samaat se takratey they, tab tau kuch aql-e-shaoor mein aata na tha lekin soch teher zaroor jati thi unalfazon per ke aakahr in ka matlab aur istemaal hai kiya, aiesey hi kuch lafz jo us waqt na aashna they wo ye they, maslan : aaftaab, kiran, mahtaab, kos-e-qaza, ada, nikhaar, nain, tarap, sukoot, besukooni, ratt jaga, khuwabeda, lehak, tircha, nigahein, ishq, junoon, muhabbat, seher angaiz, wagera wagera.


Jab umr-e-samajhdari mein kadam rakha tau andaza huwa ke ye alfaaz tau buhat hi moutabir aur zoo-maaney hein, yaani in ka istemaal hamesha soch samajh kar kiya jaata hai jab bhi apna mudda bayan kiya jaata hai, yun hum ne apney zehen se sochna aur kitabon se kuch haasil karney ki thaani aur yun bachpen se parhney aur kuch kuch likhney ka shauk wajood paya.


Tab hum ne apna mehwer kisi ko bananey ka socha ke hum kuch aiesa likhein jo parhney waley ko apni jaanib kar sakein, kuch daad kuch islah bhi miley aur saath mein seher angeiz pazeerayee bhi humarey hissey mein aajaye.


Yuhin sochon mein gumm they ke aakhir wo kiya ho jo hamara mehware-e-tehreer baney, kuch aiesee soch ka wajood ho ke hum wijdaan mein likhtey jayein aur jab ye karwan tehrey tau manzil bhi jaa lein. Pehley pehel hum ne socha ke kiyun na waalda ya waalid se salah lein, lekin ye soch kar qadam teher gaye ke un ke liyee ye bilkul chonka deney waala inkishaaf hoga ke barkhurdaar likhney se shugaf farmaney lagey hein tau yun waaldein se salah ka irada tark huwa, aur hum apni soch ki madad ke taalib huwey.


Hamara aiesa koyee dost ya raazdaar bhi na tha jis se hum ye sab keh paatey, tab achanak apney daalan per fikar mein dobey teheltey huwey hamari nazar pados ki balkony mein pari aur aik pari chehra nigah se takraya, aur nigah saakit rehgayee, azkhud zubaan se subhan ALLAH nikal gaya aur goya yun mehsoos huwa ke na soch rahi apni jaga na dil, yaani humara wajood nigah hi mein teher kar reh gaya ho jaiesey.


Wo raat shab-e-bedaari mein guzri, tab un mein se kuch alfaaz samajh mein aaye, tab aik raasta sujayee diya ke ho na ho ye us pari chehra ka asar hai ke dimagh aur dil ne aik saath kaam karna chaora bhi aur phir shuroo bhi kardiya ho, jab alfaaz ki samajh sahee manoon mein aaney lagi tau soch ko mehwar bhi milgaya aur yun hum dil se kuch tehreer ki nazar karney ke kaabil apney aap ko samajhney lagey.


Subah bedaaar hotey hi hum daalan ki taraf dorey is dua ke saath ke lillah aaj ka pehla chahra wo hi ho jo hamari nazar se takraye aur phir wo soch ata kar ke hum kuch tehreer kar sakeyin aiesa ke wo tehzeeb ke daierey mein bhi ho, shaista bhi ho, qaabil-e-kubool bhi aur qaabile-e-daad bhi, har insaan ki pehli koshish buhat anmol hoti hai chahey wo kisi bhi soorat mein ho.


ALLAH baariq taala bhi insaan ko khushi teher kar ata karta hai ke kahin usko hujjat ki aadat na hojaye, kuch taqaqquf ke baad wo chehra nazar se takraya tau poorey wajood mein sama sa gaya, fiza jesey ruk si gayee ho, hawa aur ye mahool jaiesey teher sa gaya ho, waqt qadam utahna bhool gaya ho, aftaab ki kiran munjamid hogayee ho, phir achanak pardey ki oor mein wo chehra gum hogaya aur humari ruki huwee saans bahal aur tehri huwee nazar mein jumbish honey lagi aur saakit dil ki dharkan bahaal huwee.


Raat ki jhalak aur subah ka deedar, hamarey wajood ko munqasim kargaya, apna aap apna aap nahin lag raha tha na hi apna wajood apney honey ki gawahee de raha tha, tab soch ne aik mehwar diya ke kiyun na pari chehrey aur us ke khaliq ke baarey mein kuch tehreer kiya jaye.


Go ke abhi wusaat-e-nazar mein tehraoo nahin aaya tha na hi his-e-kashish ka andaza tha lekin dil ne bhi hosla afzayee ki ke kuch na kuch tau hai jin ko alfazon mein dhalney ka intizaar hai, kiya hai ye shayad iehsaas, shayad dili kefiyat ya besabri, ALLAH janey is kaifiyat ko likhney waley kiya naam diya kartey hein, hamein jo sab se munasib laga tau wo tha aik iehsaas jis ne hum se hamarey wajood tak ko muntashir kardia ho.


Hum ne khabhi husn ko na dekha tha us andaaz se na hi khabhi socha tha, hamein husn ke baarey mein khabhi bhi andaza nahin huwa tha, kiyon ke soch khabhi us taraf raaghib hi nahin huwee thi, lekin us pari chehrey ke deedar ke baad hum tau husn parast ho gaye hon jaiesey, jub soch ne dil ke sath us andaaz se socha tabhi wo chehra hamari nazron se takraya aur poorey wajood mein samagaya.


Hum poora waqt us ke baarey mein sochtey rahey lekin mehwar-e-tehreer ka pahla lafz itna dushwaar laga ke na poochein, aqal ne jaiesey hathiyaar daal diye hon, soch naaraz si lag rahee ho aur haathon ki jumbish thamm si gayee ho, sirf wo he iehsaas angrayee leraha tha wajood mein ke han koyee hai lekin wo hai kiya us ke baarey mein har cheez nadarad.


Raat hamari wo karwatein badaltey guzri, kayee baar shab me daalan ko jhaanka lekin wo bekhabar neend ki aaghosh mein simtu hiwee thi, idhar hum dil-e-natawan haath mein utahye utahey kisi simt ke tayyun ki rahh ke taalib they, aiesey mein na jaaney kab neend ko hum per reham aaya aur us ne puchkaar kar hamein bhi apney daaman mein jaga dedi aur yun hamarey wajood mein tehraoo aagaya aur hum bhi khuwab-e-khargish ka maza lootney lagey.


Allus subah bedaari ke baad hum talash-e-husn mein waqf hogaye lekin hasrat nadarad, tab intizaar-e-husn ko ghaneemat jaana aur daalan ke saath beth liyee, kuch tawaqquf ke baad bhi sukoon na paya tau hum atraaf ka jaiza leney lagey, tab maqaan ka beroni darwazey ke kufl khuley aur wo haseen pari namoodar huwee, payein baagh ki jaiesey kismaat jaag gayee ho, aftaab bhi lamha bhar ruka zaroor hoga, tapish bhari kirnein sard hogayee, hawa ki chaal bhi badal gayee aur kirnon ne qos-e-qaza ko pahla diya ho, atraaf ke phool baagh ki reshmi ghaas apni khushkismati per naazan they, hum sakait daalan se lagey atkey khajor ki manind sehmey kharey they, tab us pari ne aik peepal ke darakht ke saye mein qadam tehraye aur us taney ke saharey sastaney lagin, tab pehli baar hum ne nazdeek se mukammal husn ko dekha, ALLAH ke haathon ki tareef aur uskey intikhaab per raskq aaraha tha, aik mukammal husn jis mein ratti barabar bhi koyee kami na ho, us ki nigah, us ke nain, us mein halka sa kajal, sanwerey se lehratey reshmi baal, motiyun jaiesey us ke daant, ghata jaiesee zulfein, nazuk se rukhsaar, sheerni jaiesee muskaan, sang-e-mar mar per tarasha huwa us ka shaffaf badan, nazuk se konpal jaiesey us ke labb, gharz har ada matwali, aur wajood mujassam-e-husn be parwah.


Un ki mazeed deedar ki taab hum mein nahin rahee tau hum apni khuwab gaah mein aagaye, wo na janey kitney peher wahan ki kismat ko chamkati rahein, aur hum apni khuwab gah mein mujassam-e-husn ke baarey mein apney haathon ko jumbish deneney lagey, aur hum ne wo sab kuch likh diya jo hum ne socha aur zubaan se kaha, yun hum ne apni tehreer ko shakal aur roop bakhsha, aur dil ko itminaan huwa ke hum ne kuch tau qalam gardani ki, tab phir hum ko shab ke naajaney kis peher mein neend ne apni aaghosh mein leliya.


Hum ne bedaari ke baad apni tehreer ko phir parha aur yun samjah jaiesey ye aik mukammal aur jaama shahkaar ho. Tab waalda maajda ki aawaz ne hum ko chonka diya aur hum tayyar ho kar aaney ka keh kar mehw hogaye.


Aaj pehli baar waldein ki nazrein maana khaizz mehsoos huwein, hamein yun dekhna aur dono ka muskurana hamein tazabzub mein mubtala kar raha tha, tab hamarey waalid-e-muhattram ne hum se farmaya ke ab hum ko iehsaas huwa ke dik ki koyee zubaan aur aawaz bhi huwa karti hei, hum har baat se nabaladd, kuch bhi samajhney se kaasir, tab hum ne waalda ko mukhatib kiya aur kaha ke aakhir ye maajra hai kiya ?????


Tab waalda mohtarma ne
Posted 17 Feb 2005

sun_shine says
Assalam O Alaikum

*Very True feelings straight from Your Heart
Allah swt unki mughfarat farmaye
aur Apko aik buhat khoobsurat n Peaceful Life ata farmaye Ameen...!

Buhat Umda tehreer ....!
Posted 16 Jun 2008

Rapunzel says
Walaikum Assalam

agree with Ss InshaAllah Allah sab behter akrain gay
Posted 16 Jun 2008

sun_shine says
Posted 18 Jun 2008

Posted 28 Jun 2008

javad says
yr itss really ....long..
Posted 11 Jul 2008

valandrian says
bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901
bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901
bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901
bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901
bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901
bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901
bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901
bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901
bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901
bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901
bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901bd43901
bd43901
Posted 20 May 2018

Posted 17 Sep 2018

Posted 21 Oct 2018

Posted 09 Nov 2018

neha1990 says
divineGroup Musical–the name speaks for itself…mmm, good music! Divine Group
Musical–So Cal’s hottest show band filled with some of LA’s top musicians and
singers–is here to bring you all the music, from the classic sounds of the 60’s
to today’s current top hits.
Since the young age of 15 vocalist Juan Garcia, has treated audiences across
America and around the world to his own unique style of Salsa.
Bands for hire in los angeles 
latin bands for weddings los angeles 
Mariachi Band Los Angeles 
Bandas en los angeles 
Cumbia Bands Los Angeles 
Latin Music Bands For Weddings 
Bands For Weddings In California 
wedding live band In Los Angeles 
popular latin bands Los Angeles 
Latin Bands for hire los angeles 
Grupo Versatil California 
Grupo Versatil In California 
Grupos Versatiles En California 
Grupo Versatil En Los Angeles 
Grupo Musical Los Angeles 
Latin Wedding Bands Los Angeles 
Live Latin Band Los Angeles 
Best Latin Band In Los Angeles 
Latin Bands In Los Angeles 
Hire Latin Wedding Bands 
Latin band for marriage 
Latin band for occasion 
versatile latin band 
professional latin band 
professional versatil band 
versatil band for marriage 
Grupo Versatil 
Latin Band 
Latin wedding band 
Live Latin Band 
Meet us : 101-129 W 1st St, Los Angeles, CA 90012, United States
Talk to us : +1 562-896-6958
Mail us : [email protected]
Website : https://grandlatinband.com/
Posted 12 Nov 2020

Reply to Topic