Apni soi hoi dunya ko jagalon to chaloon
Apne gham khane mai ik dhoom machalon to chaloon
Aur ik jAm`mai Talkh charhalon to chalon
Abhi chalta hoon zara khud ko sambhalon to chaloon
Jane kab pi thi abhi tak hai Mai`Gham ka khumar
Dhondla dhondla nazer ata hai jahan bedar
AAndhyan chalti hain dunya hoi jati hai ghubaar
Ankh to mal lon zara hosh mai ajaon to chalon
Wo saher wo Ejaz kahan hai Lana
Meri khoi hoi awaz kahan hai lana
Mera tota hua saaz kahan hai lana
Ik zara Geet bhi is saaz pe galon to chalon
Mai thaka hara tha itne mai jo aye badal
Kisi matwale ne chupke se barhadi bottle
Uf wo rangeen porasrar khayalon k mahal
Aise do chaar mahal aur banalon to chaloon
Mughse kuch kehne ko ai hai mere dil ki jalan
kya kia maine zamane mai nahi jis ka chalan
Anso tum ne to baar bhigoya daman
Apne bheege how daman ko sokhalon to chaloon
Meri aankhon mai abhi tak hai mohabbat ka ghoror
Mere honton ko abhi tak hai sadaqat ka ghoror
Mere maathe pe abhi tak hai sharafat ka ghoror
Aise wehmon se bhi ab khud ko nikalon to chalon