Logo

~ ITNA NAHIN THA ~

Terey baarey mein jab, socha nahin tha
Mein tanha tha magar, itna nahin tha

Teri tasveer sey karta tha baatein
Merey kamrey mein ' Aaina ' nahin tha

Mein tanha tha magar, itna nahin tha

Samander ne Mujhey, Pyaasa hi rakha
Mein jab Sehra mein tha, Pyaasa nahin tha

Mein tanha tha magar, itna nahin tha

Manaaney roothney ke khail mein Hum,
Bichhar jaaein gey, Yeh socha nahin tha

Mein tanha tha magar, itna nahin tha

N bund kar leen, Aankhein main ne
Kai Raaton sey Main, soya nahin tha

Mein tanha tha magar, itna nahin tha

                  ROHAIL

Posted on 3/11/2005 4:01:35 PM


Posted on 3/11/2005 11:09:04 PM