SALL:
ZEESHANAHMED:
haan zaroor hoon khudgharz thora ya ziada magar faraiz poora karnay ka yeh matlab tu nahi na ab aap ki gharz poori karna Uska farz ho gya hai?
nahi,,, yeh nahi kaha me ne
par phir humein iss baat ka yakeen kyun dilaya jata hai k niyyat saaf rakho,, amaal theek rakho,, har khahish poori hogi ??
read bazu's mail
he might b wrong,,, par hum jab tak kissi aisi situation se khud nahi guzarte doosron ko tasalli dena bohot asaan hota hai..
mera khyal mei dunya ki khahish rakhna galt nahi hai,, par isse hamari priority nahi hona chaiye.... dunyavi khahish hamesha materialist nahi hoti, some ppl need a spiritual satisfaction in this world,,, we sometimes need answer to few questions
agar khahish karna galt hai to phir dua ki kya hesiyat hai ??
Dear Sall
apki her baat ka jawab sirf in 2 4 baton main hai...
yeh Dunya kaynat Allah ne banayi ... wajah uski Hazrat Muhammad (SAW) thay, hain aur rahaingay. Allah ne apnay baad jis Zaat Ko banaya woh b Hazrat Muhammad (SAW) hain...
App (SAW) itnay Mehboob Allah ke ... ke Mairaj Ke lye bulaya basically ager being a LOVER daikho to Allah ne apnay Mehboob se milna chaha... mila to mila but phir SORAH-E-WA.NAJM bhi nazil farmayi jis ke pehla roku pura sirf Mairaj per base kerta hai...
Jab b Kisi nabi ya peghamber per koi b mushkil ayi to unhon ne dua main App (SAW) ka waseela istimal kiya to muawafi mili...
baat ko short kerta hon...
Jis Hafti ke lye yeh kayenat ... yeh dunya aasman.. adam hawa... ap hum sab wajood main aye... jab Allah ne un ko b azmaya to hum kis khait ki muli hain? i mean to say Pather khaye App(SAW) ne ... Allah chahta to pather ka wajood hi khatum ho jata dunya se ho sakta tha na? nahi hua is lye ke Allah azmaata hai ... i hope kuch to clear hua hoga...
2nd thing is ... Dunya ki khawaish... Hazrat Muhammad (SAW) ne farmaya ke "Dunya Kafir Ke Lye Jannat Aur Mouman Ke Lye Qaidkhana Hai"... to Qaidkhanay Main kaisi khawaish siwaye rehai ke?
main khud b khwahishain rekhta hon.. duwain kerta hon... kabhi aik waqt tha ke kisi ke lye girgiraya ... roya sab kiya... per woh nahi mila mujhe ... phir roya hehehe coz im a human ... phir aik cheez seekh li life main ... Allah Tera Her HAAL main Lakh Lakh Shuker hai... ithink thats the best way to live ur life ... go on... dont try to intrpt the flow... no questions no queries... jab yeh Jaan hi Allah ki amanat Hai to hamara apna kya hai aisa ke jis ke lye hum hazaron sawal kharay ker dain?...
sorry if u dont like anything...