Chahton k mosam main
zakhm jo bhi lag jaye
Umer bhar nahi silta
Tum ne sun liya hoga
sheher ki hawaon se
wo jo aik deewana
aatay jaatay raahi ko
rastay main milta tha
AB KAHIEN NAHI MILTA
Hum ko nahi maloom k ujrday huye dil se
aawara mizaaji ka asar kion nahi jata
kya baat hey sardkon pe utarti nahi ronaq
kya bhaid hey is shehr se darr kion nahi jata
sadiyon se tujhey taktay huye soch raha hun
G tere khad-o-khaal se bhar kion nahi jata
thehra hey jo ik qafila-e-ghum mere dil main
is choti c basti se guzar kion nahi jata
saanson se meri larzish-e-ghum kion nahi jati
peron se mere zakhm-e-safar kion nahi jata
Ik Ik dil main sou sou ghum mehmaan huye
chotay chotay sheher bhi kya gunjaan huye
Jeevan ,main aor teri yaadon wali sham
achay khasay waqif thay .anjaan huye
main bola mujh se baat karo wo bola Pagal aawara
phir main ne khud ko dair talak khud likha Pagal aawara
wo thehra thehra sa pani wo suljha suljha sa mosam
main uljha uljha sa shayar main thehra pagal aawara
Chahton k mosam main
zakhm jo bhi lag jaye
Umer bhar nahi silta
Tum ne sun liya hoga
sheher ki hawaon se
wo jo aik deewana
aatay jaatay raahi ko
rastay main milta tha
AB KAHIEN NAHI MILTA