main teri zaat ka hissa hun
main teri soch main shamil hun
main teri neend ka qissa hun
main tere khawab ka hasil hun
main teri yaad ka mehwar hun
main teri saans ka jhonka hun
tu Manzar Main pus-manzar hun
main lamha hun main jazba hun
jazbay ka koi naam nahi