Logo

KHUSHBOO


Posted on 4/28/2005 3:55:54 PM

nice

Posted on 4/29/2005 12:21:45 AM

hmm nice

Posted on 4/29/2005 3:39:49 AM

Thanx

Posted on 4/29/2005 1:35:02 PM

Suna hai loog ussay aankh bhar k deekhtay hain
Tou uss k shehar main kuch din tehar k deekhtay hain

Suna hai rubt hai ussay kharab haaloon say
So apnay aap ko barbad kar k deekhtay hain

Suna hai dard ki gahak hai chashm-e-naz uss ki
So hum bhi uss ki gali say guzar k deekhtay hain

Suna hai uss ko bhi hai shair o shairi say shaghaf
So hum bhi maugzay apnay hunar k deekhtay hain

Suna hai boolay tou baatoon say phool ghartay hain
Yeh baat hai tou chalo baat kar k deekhtay hain

Suna hai raat ussay chand takta rehta hai
Sitaray bam-e-falaq say uttar k deekhtay hain

Suna hai uss k shabistan say muttasil hai bahisht
Museeh udhar k bhi julway idhar k deekhtay hain

Posted on 4/29/2005 4:11:52 PM

ab us k shehr main thehrain k kooch ker jaien
faraz ao sitaray safar k dekhtay hain

nt remember exactly. but the ghazal takes a turn from here..

by AHMAD FARAZ

Posted on 4/29/2005 10:34:10 PM

Yeah its a big ghazal
I just post half of it
I will post the rest of
it too

Posted on 4/30/2005 12:19:55 PM

                        PART 2

Suna hai din ko ussay titlian satati hain
Suna hai raat ko jugnu tehar k deekhtay hain

Suna hai hashr hain uss ki ghazaal see aankhain
Suna hai uss ko hiran dasht bhar k deekhtay hain

Suna hai raat say bhar ker hain kaklain uss ki
Suna hai sham ko saaee guzar k deekhtay hain

Suna hai uss ki siyah chashmagi qiyyamat hai
So uss ko surma faroosh aah bhar k deekhtay hain

Suna hai uss k laboon say gulab galtay hain
So hum bahar pay ilzam dher k deekhtay hain

Suna hai aaina e tamsal hai gabeen uss ki
Jo sada dil hain ussay ban sanwar k deekhtay hain


Posted on 4/30/2005 3:00:32 PM

Its a real big ghazal though
very nice and my favourite


I will post the 3rd part later

Posted on 4/30/2005 3:02:15 PM

                Part3



Bas aik nigah say lutta hai qaafla dil ka
So rah rawan e tamanna bhi dar k deekhtay hain

Suna hai uss k shabistan say muttasil hai bahisht
Musih udhar k bhi jalway idher k deekhtay hain

Rukay tou gardisheen us ka tawaf karti hain
Chalay tou uss ko zamany tehar k deekhtay hain

Kahania hi sahi sab mubalghay hi sahi
Agar woh khawab hai tou tabeer kar k deekhtay hain

Ab iss k shehar main tehrain k kooch kar jain
Faraz aao sitary safar k deekhtay hain

Posted on 5/1/2005 3:00:56 PM


Posted on 5/2/2005 3:11:26 AM

Thanx

Kissi nay to parha
Warna main khud hi post
kar raha tha aur khud hi
parh raha tha

Posted on 5/2/2005 3:14:21 AM

hmm ek hi dafa puri perhney ka maza kuchaur hi hota hai

really nice one

Posted on 5/2/2005 4:01:30 AM

Thanx

Posted on 5/2/2005 3:48:07 PM

kiya baat hia janab kiiii

Posted on 5/3/2005 12:17:12 AM

cutefriend:
kiya baat hia janab kiiii




Kia baat hai



Posted on 5/3/2005 5:01:55 AM

Aik pal main aik sadi ka maza hum say poochiye
Do din ki zindagi ka maza hum say poochiyee

Bhoolay hain rafta rafta unhain muddattoo main hum
Kistoon main khudkashi ka maza hum say poochiye

Aghaz e aashqi ka maza aap ganiyee
Injam e aashqi ka maza hum say poochiye

Hansnay ka shoq hum ko bhi tha aap ki tarah
Hansiye magar hansi ka maza hum say poochiye

Woh jaan hi gaye k humain un say piyar hai
Aankhoon ki mukhbari ka maza hum say poochiye

Jaltay diyoon main jaltay gharoon jaisi zooo kahan
Sarkar rooshni ka maza hum say poochiye

Hum tooba kar k mar gaye qabal e ajal khumar
Toheen e may kashi ka maza hum say poochiye

Posted on 5/3/2005 3:36:22 PM

Khumar bara bunkwi

Posted on 5/3/2005 3:37:28 PM

DejaVu077:
Aik pal main aik sadi ka maza hum say poochiye
Do din ki zindagi ka maza hum say poochiyee

Bhoolay hain rafta rafta unhain muddattoo main hum
Kistoon main khudkashi ka maza hum say poochiye

Aghaz e aashqi ka maza aap ganiyee
Injam e aashqi ka maza hum say poochiye

Hansnay ka shoq hum ko bhi tha aap ki tarah
Hansiye magar hansi ka maza hum say poochiye

Woh jaan hi gaye k humain un say piyar hai
Aankhoon ki mukhbari ka maza hum say poochiye

Jaltay diyoon main jaltay gharoon jaisi zooo kahan
Sarkar rooshni ka maza hum say poochiye

Hum tooba kar k mar gaye qabal e ajal khumar
Toheen e may kashi ka maza hum say poochiye


so bata bhi dein janab..aur kia kia poochein

Posted on 5/5/2005 2:36:44 AM

really nice

Posted on 5/5/2005 2:36:51 AM

Thanx

Posted on 5/5/2005 3:22:57 PM

paki_fan:


so bata bhi dein janab..aur kia kia poochein




Jo marzi aaye pochiye janab

aap ko ijazat hai

Posted on 5/5/2005 3:24:32 PM

Woh hain paas aur yaad aanay lagay hain
Mohabbat k hoosh ab thikanay lagay hain

Suna hai humain woh bhulanay lagay hain
Tou kia unhain hum yaad aanay lagay hain

Hataye thay jo rah say doostoon ki
Woh pathar meray ghar main aanay lagay hain

Woh phir mujhay yaad aanay lagay hain
Jinhain bhoolnay main zamanay lagay hain

Yeh kehna tha unsay mohabbat hai mujh ko
Yeh kehnay main mujh ko zamanay lagay hain

Qiyamat yaqenan kareeb aa gaye hai
Khumar ab tou masjid main janay lagay hain

Posted on 5/5/2005 4:10:48 PM

Again khumar bara bunkwi

Posted on 5/5/2005 4:11:20 PM

iska matlab hey k...


Posted on 5/5/2005 5:15:26 PM

Doctor Sam:
iska matlab hey k...





Kin soochon main hain gee aap




aur itni late entry

Posted on 5/6/2005 4:35:53 PM

Sorry Sorry Sorry...

wese... Aap pehle page dekhain... entry wahan bhi di thi hum ne...


Posted on 5/6/2005 7:58:06 PM

DejaVu077:
Doctor Sam:
iska matlab hey k...





Kin soochon main hain gee aap




aur itni late entry


is soch main k...

Duniya main BA-ZOUQ log abhi hain...


Posted on 5/6/2005 7:59:13 PM

DejaVu077:
                     Part3



Bas aik nigah say lutta hai qaafla dil ka
So rah rawan e tamanna bhi dar k deekhtay hain

Suna hai uss k shabistan say muttasil hai bahisht
Musih udhar k bhi jalway idher k deekhtay hain

Rukay tou gardisheen us ka tawaf karti hain
Chalay tou uss ko zamany tehar k deekhtay hain

Kahania hi sahi sab mubalghay hi sahi
Agar woh khawab hai tou tabeer kar k deekhtay hain

Ab iss k shehar main tehrain k kooch kar jain
Faraz aao sitary safar k deekhtay hain


oh thanks for sharing DEJU

ham to pata hi nahin tha itni long hay yah

nice choice

Posted on 5/6/2005 9:57:11 PM


Posted on 5/7/2005 5:31:37 AM

Doctor Sam:
Sorry Sorry Sorry...

wese... Aap pehle page dekhain... entry wahan bhi di thi hum ne...





Ohhhhh i m sorry bhool gaya tha

Posted on 5/7/2005 3:32:09 PM

Copyright © 2025 Janubaba.com. All rights reserved.