is dil main salamat hey ab tak
wo shokhi-e-lab wo harf-e-wafa
wo naqsh-e-qadam wo aks-e-hina
sou baar jisay chooma hum ne
so baar parastish ki jis ki
is dil main salamat hey ab tak
wo gard-e-alam wo deeda-e-num
hum jis main chupa kar rakhtay thay
tasveer bikharti yaadon ki
zanjeer pighaltay waadon ki
poonji naakam iraadon ki
a taiz hawa naraz na ho
is dil main salamat hey ab tak
samaan bichardti sa'at ka
kuch tukrday garm dopehron k
kuch raizay narm sawalon k
kuch durr anmol khyaloon k
ik saccha roop haqeeqat ka
ik jhoota lafz Mohabbat ka
Main tanha tha
magar kal shub
meri aawargi---achi lagi mujh ko
mere humraah thakk kar saans leti
ik naddi--- achi lagi mujh ko
naddi k mouj main chup chaap
ghulti chandni---achi lagi mujh ko
udaasi ordhti shakhon se lamhon ki tarah
jhardtay huye pattay
shagufon ki bujhi khushbu
hawa ki chaal Aaawara
fiza ka baanjh-pann pehne huye malboos-e-bay khwabi
gali koochon main qeht-e-shor-e-dildaaraN
sitaaron ki quba main---tairgi k bay sabab taankay
khala sunsaan
jese maqtalon main naachtay---bay-unt sannatay ki
lou jhankay
barahna paird ,,, jese eestada patharoN ka halqa-e-matam
main tanha tha
main kal shub
firaaq-e-yaar ki rut se galay milti khazaan ki saadgi
achi... bohat achi lagi mujh ko