Muskurahat Kia hai

2073 views 23 replies
Reply to Topic
Shrartii

Age: 124
Total Posts: 31
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Muskuranay say b Hota hai Bayan Gham-e-Dil
Hamain Roonay ki b Aadat ho Zaroori to nahii
------------------------------------------------
And This One is Minee:-

Zuban-e-Talkh say behtar hai Khanjar-e-Zehar Aalud
Khanjar Mout to daita hai Zuban Marnay nahi daitee
-----------------------------------------------------

Alvida


Na tujh pay jafa ka koi ilzaam
Na main apni ulfat pay sharamsaar

Tagaaful na pashaymaani na koi shikayat
Bus zindgi ko daikha apnay apnay andaaz say humnay

Main ishq ko samjhtaa huiN zindgi ka muqaddar
Toonay muqqadar ko bus zindgi samjhaa

MaiN jin zulmatoN pay uthaata raha barbat-I-bagaawat
Toonay unhee Aqaayud ko raushni samjhaa

MaiN banaataa hi raha haseeN khwaaboN kay ghroNday
Mujhko na tha pata ki tera guzar inmaiN kahaN

Tu to dhooNdhti phirti thi ik kafas sandli
Maray tassuvar main tha teray liyay ik aazaad jahaN

MaiNnay to chahaa tha tum humqadam ho kay chalo
Tumnay virsay main paya hai magar aqeedat ka bharum

Meri ulfat to thi braabar ki dosti
Teri ulfat rahi meri mohtaaj-i-karam

Meri tamanna thi ki tu mujhay “tu” ho kay milay
Toonay khudi ko apni biknay kay liyay paalaa tha

Meri hasrat ki tu isay apnay ahsaas main rakh kar kay jiyay
Toonay parastish kay liyay jisay ab talak saMbhaalaa tha

Na tujhsay thi mujhay parastish ki aarzoo
Na khud mujhay tha shauq-I-aqeedat

MaiN tujh main dhooNdhta phirtaa tha ik khuddaar mehboob
Aur tumko piyaari thi apnay purkhoN ki viraasat




Posted 28 May 2005

Reply to Topic