Logo

Dard

Is Hansi mein chuppe dard ko mehsoos to kar
Woh to hans hans ke yoon hi khud ko saza deta hai

Posted on 6/1/2005 4:43:18 PM

dadr...ahaa...dard ko mehsooos ker..

yaar pori nazam likho

Posted on 6/2/2005 4:18:05 AM

mera hamsafer jo ajeeb hai
toe ajeeb ter hoon mein ap bhi
usey manzilon ki khabar nahein \
mujhe raastoon ka pata nahein
daro baam sab ney saja liye
sabhi roshni mein naha liye
meri unglia bhi jhulas gaien
magar ik charagh abhi jala nahein
voh jo dil-o-nazer ka suroor tha
merey pas reh ker bhi door tha
vohi ek gulab umeed ka
meri shakh-e-jaan per khila nahein
ghame zindagi teri raah mein
shab-e-arzoo teri chah mein
jo ujed gaya vo basa nahein
jo bichhad gaya voh mila nahein

(what abt it)

Posted on 6/2/2005 4:14:29 PM

wah wah wah...kya baat hae....ye hoi na baat

ek sher likhtay ho...acha hota hae per poori nazam ke baat he kuch aur hae na...good job

Posted on 6/3/2005 3:04:54 AM

gud

Posted on 6/3/2005 3:18:13 AM

ye itnay saray anguthaay?

Posted on 6/3/2005 3:19:09 AM

chaloo aik kam ker lo

Posted on 6/3/2005 4:15:23 PM

kissi ko mohabat ka dard mila kissi ko bewafaia ka

Posted on 6/3/2005 9:06:29 PM

es ko koi painkiller do yaar

Posted on 6/4/2005 4:54:36 AM

Waheed_Younis:
Is Hansi mein chuppe dard ko mehsoos to kar
Woh to hans hans ke yoon hi khud ko saza deta hai

wow..

Posted on 6/5/2005 6:45:31 AM

Bazigaar:
es ko koi painkiller do yaar

kiya yaar achi bhali sad poetry per hans rahey ho

Posted on 6/5/2005 6:46:03 AM

painkiller ki bazi ko ziadah zarorat hai kionk in k kuchh bhi samajh nahein aata

Posted on 6/5/2005 2:22:18 PM