Logo

Maa



I m so depressed today because I m really missing my mom today I wish I was with her but…
Anyway I’m dedicating this poem to my mom
------------------------------------------------------------ --
MAAA


Umer Bhar Seene Se Laga Kar Pala Hai Maa Ne
Ghalat Batoon Pe Thora Thora Mara Hai Maa Ne

Abhi Tak Wo Bachpane Ki Yadein Hain Baqi
Aur Wo Bachpane Ki Batein Hain Baqi

Ke Jab Mein Ne Bola Tha Maa Pehli Baar
Maa Ki Aankhon Mein Bhara Tha Kitna Pyar

Paida Huwa Tha To Kuch Nahi Tha Mein
Maa Ki Wajha Se Aaj Hoon Kya Kya Mein

Lalach To Kuch Nahi Meri Maa Ko Magar
Acha Ho Jo Dedoon Dil Tohfay Mein Agar

Maa Ko Choorte Hain Aise Kuch Log Hotay Hain
Phir Auroon Ke Liyay Wo Hamesha Sog Hotay Hain

Kuch Logoon Ke Liyay Maa Ko Choorte Nahi
Chahay Kuch Ho Jaye Moo Mortay Nahi

Maa Se Hamesha Hamein Sukh Milte Hain
Phir Bhi Us Ko Hamse Dukh Milte Hain

Kash Qurbaan Karoon Mein Sab Us Ki Sada Pe
Aur Wo Mujhe Pyar Karay Meri Issi Ada Pe


Maa Se Mujhe Meri Koi Juda Na Karay
Karoon Pyar Kissi Aur Se Khuda Na Karay

Posted on 6/5/2005 6:54:48 AM

Aaapki mama kahan hain Zeeshaan..?


Posted on 6/5/2005 9:58:40 AM

GOOD

Posted on 6/5/2005 11:46:54 PM

really very nice ... Sahi baat hai maa jasa koi nahi... Allah hum sab ka parentzz ko hamasha salamat rakha... ammin..

Posted on 6/7/2005 7:07:15 AM

Sum Ameen

Posted on 6/10/2005 2:15:56 AM

thanks guys

Doctor Sam:
Aaapki mama kahan hain Zeeshaan..?


janab pakistan gayein hain na to pechley kuch dinoon mein kuch zayada hi mein udaas tha

Posted on 6/10/2005 2:16:42 AM