@badal
itni beheass me jaanay ki zaroorat hi nahi, bhai jaan. aap mujhe kuch jawab de deN, main aap ko kuch jawab de deta huN. otherwise aap apni karte raheN main apni karta rehta huN. jiss type ke sawal aap kar rahe haiN, yeh to jaari raheN ge, i am sure, aap ne khud to koi kitaab nahi parrhi Mirza ghulam ahmad(as) ki. bass kahiN say aitrazat ka bundle utha laaye. so yeh to khatam nahi hone. inn ka jawab aap official website par talash kijiye.
pehle yeh bataye, waisay aap Mirza Ghulam Ahmad (AS) ki baat tasleem nahi karte, yeh ussatizah wali kioN tassleem kar li? phir agar tassleem ki bhi to baaqi kioN nahi tassleem karte?
phir yeh ke yeh sabit karna to aap par hai abhi lazim ke konse ustad se taleem hassil ki unhoN ne?
ab chotte scholloN me parrhanay wale ko bhi ustad hi kehte hain magar woh koi mana hua ustad thorra hi hota hai. ab aap idher bhi aik lafz "ustad" ko pakarr ke baith jaayen to kuch kiya nahi jasakta, bhai jaan.
"quran aur hadees me kissi ustad ka shagird nahi hoga" means for me, kissi maane hue zamanay ke ustad ka shagird nahi hoga.
ab maulvi fazal ilahi, sahib ko koi nahi janta ke unn ka quran me kitna ilm hai, haaN yeh hoga ke unn se quran parrhna seekha hoga, like every urdu-bacha seekhta hai. aap ne bhi seekha hai, main ne bhi ustani sahiba se seekha hai, magar siraf arbi parrhni, waisay unn se agar kissi lafz ka matlab bhi poochuN to unheN nahi aata hoga. this is light difference. Mirza Ghulam Ahmad (as) ke zamanay me maane hue ustad maujood the, jinn sabb ne aap ki kitaab "baraheen-e-ahmadiyya" ki itni tareefeN ki, bad me magar jabb dawa kiya Masih maud hone ka to wuhi dushman bann gaye. to janab, sabit to abhi aap ne karna hai ke kissi ustad ke shagird the.
aur ab hamare sawalat ka bhi jawab de deN zara. jo pehle bhi kiye aur ab bhi kar dete haiN.
hazrat Isa(as) faut ho gaye ya nahi?
koi ghair-sharii prophet ummat me asakta hai ya nahi?
pehle basics decide kar lijiye, aap ko sabb kuch samajh aajayegi. jabb naali meN phanssa hua pathar ni nikala jaaye uss waqat takk paani aage behta nahi hai, aik hi jaga par kharra reh jata hai. so pathar hatayiye.