Ye aaienay jo tumhain kum pasand kartay hain
inhain khabar hey tumhain hum pasand kartay hain
tumhain KHUDA ne zamanay main naazneen kiya
meri nazar ne tumhain aor bhi haseen kiya
tere baghair safar kya hey raasta kya hey
hum aashiqon ko zamanay se waasta kya hey

k hum to aapko janam pasand kartay hain
isiliye tumhain mosam pasand kartay hain
Ye aaienay jo tumhain kum pasand kartay hain
inhain khabar hey tumhain hum pasand kartay hain
qareeb aao k bhar lain tumhain nigaahon main
tumhain samait lain in bayqaraar banhon main
hey kon aisa jisay dharkanon main bund kerain
tumhi batao tumhain kion na hum pasand karain

k pyasay log hi shabnum pasand kartay hain
koi karay na , tumhain hum pasand kartay hain