Logo

Bahut Dino Ke Baad

Bohat dino ki baat thi
shabab per bahar thi
fiza bhi khushgawar thi
na jaane kioun machal para
main apne ghar se chal para
kisi ne mujh ko rok ker
bari aada se tok ker
kaha ke laut ayyee
meri qasam na jayyee
meri qasam na jayyee
magar mujhe khabar na thi
mahaul per nazar na thi
na janey kioun machal para
main apney ghar se chal para
phir shehar se main aa gaya
khayal tha ke paa gaya
usey jo mujh se durr thi
magar meri zaroor thi
phir ik haseen shaam ko
main chal para salam ko
gali ka rang dekh ker
naye tarang dekh ker
mujhe bari khushi hui
main kuch isi khushi main tha
kisi ne jhank ker kaha
paraye ghar se jayyee
meri qasam na ayyee
wohi haseen shaam hai
bahar jis ka naam hai
chala hoon ghar ko chor ker
na janey jaoon ga kidhar
koi nahin jo rok ker
koi nahin jo tok ker
kahay ke laut ayyee
meri qasam na jayyee
meri qasam na jayyee

Posted on 7/26/2003 3:54:48 PM

ah haaan~!

Posted on 7/26/2003 4:11:54 PM

haan

Posted on 7/26/2003 10:09:14 PM

nisso yaar

Posted on 7/27/2003 1:45:15 AM

YUP VERY NICE YAAR ISS KO DEBATE COMPITETION MAE JAB MAE MATRIC MAE THA TO HALL MAE SUNNAYA THA I THINK IT WAS 1994

BAHOUT HE ACHI UNTOUCHABLE

Posted on 7/27/2003 12:50:13 PM

LIKEN YAAR YEA TORI SI CHANGE HOWI HAE

Posted on 7/27/2003 12:50:50 PM

Zindagi tujh ko manaanay niklay
Ham bhi kis darjaa deewaane niklay

Kuchh to dushman thay mukhaalif saf mei
Kuchh meray dost puraanay niklay

Nazar_andaaz kiyaa hai us nay
Khud se milnay ke bahaanay niklay

Be-basaarat hai yeh basti yaaro
Aaiinaa kis ko dikhaanay niklay

In andheron mei jiyoge kab tak
Koii to shamaa jalaanay niklay

Posted on 7/27/2003 2:20:29 PM

wow shary .. woe

Posted on 7/27/2003 3:29:46 PM

wah wah nice

Posted on 7/27/2003 3:51:08 PM

ThNXz

Posted on 7/27/2003 9:44:48 PM

nice one na

Posted on 7/28/2003 3:05:05 AM

Wahhhhhhhh
dil ko choo leney wali shaa-eri hey.......mazaa aagaya perdh k...please post more similer to this....

quote:
Originally posted by untouchable

Bohat dino ki baat thi
shabab per bahar thi
fiza bhi khushgawar thi
na jaane kioun machal para
main apne ghar se chal para
kisi ne mujh ko rok ker
bari aada se tok ker
kaha ke laut ayyee
meri qasam na jayyee
meri qasam na jayyee
magar mujhe khabar na thi
mahaul per nazar na thi
na janey kioun machal para
main apney ghar se chal para
phir shehar se main aa gaya
khayal tha ke paa gaya
usey jo mujh se durr thi
magar meri zaroor thi
phir ik haseen shaam ko
main chal para salam ko
gali ka rang dekh ker
naye tarang dekh ker
mujhe bari khushi hui
main kuch isi khushi main tha
kisi ne jhank ker kaha
paraye ghar se jayyee
meri qasam na ayyee
wohi haseen shaam hai
bahar jis ka naam hai
chala hoon ghar ko chor ker
na janey jaoon ga kidhar
koi nahin jo rok ker
koi nahin jo tok ker
kahay ke laut ayyee
meri qasam na jayyee
meri qasam na jayyee



Posted on 7/28/2003 6:42:45 AM

Shary aap k jaawaab ka bhi jawaab nahee......lagtaa hey mashallah yahan sukhanwar log hain.... please post more, as I requested withuntouchable..[:)]
quote:
Originally posted by sharara

Zindagi tujh ko manaanay niklay
Ham bhi kis darjaa deewaane niklay

Kuchh to dushman thay mukhaalif saf mei
Kuchh meray dost puraanay niklay

Nazar_andaaz kiyaa hai us nay
Khud se milnay ke bahaanay niklay

Be-basaarat hai yeh basti yaaro
Aaiinaa kis ko dikhaanay niklay

In andheron mei jiyoge kab tak
Koii to shamaa jalaanay niklay


Posted on 7/28/2003 6:45:43 AM

zabardast untouchable!

Posted on 7/28/2003 7:37:34 PM

heey...

THANZZZZZZZZZZZZZZZZZZzzzzz

Posted on 7/28/2003 8:23:39 PM