Bhari mehfil mein tanha mujhe rehna sikha diya
Tere pyar ne duniya ko jhootha kehna sikha diya
Kisi dard ya khushi ka ehsaas nahin hai ab to
Sab kucch zindagi mein chup-chaap sehna sikha diya:(
ishq sabhi ko jeena sikha deta hai,
wafa ke naam pe marna sikha deta hai,
ishq nahi kiya to
kar ke dekho,
ye haste-haste aansu peena sikha deta hai.....!
Bhoolne waale se koyi keh de zara
is tarah yaad aane se kya faaida,
Jab mere dil ki duniya basaati nahin
phir khayaalon mein aane se kya faaida
Kya kahoon aapse kitni umeeden thi
Aap kya badle duniya badal si gayi,
Aasra de ke dil tod te hain mera
Is tarah sataane se kya faaida,
Chaar tinke jala ke kya mil gaya
Mit sakana zamane se mera nishaan,
Mujhpe bijli girao to jaanu sahi
Aashiaan par girane se kya faaida
aap ne mujhe acha kaha itni meri aukhat nahi,
yeh to karam hai aapka warna mujhme aisi baat nahi.
magar phir bhi agar acha kaha hai to bhi meri aukhat nahi,
aap aap hai aap me jo hai mujhme wo baat nahi