Logo

*!*Sooraj Ki Tamanna*!*

Qurbat to bari cheez hai aae jaan-e-tamanna
Iss dil ki tassali ko tera naam buhat hai

Kabhi sooraj ki tamanna nahi baaqi
Roshni chor gaye dil mein andhera aisa

Lo bujh gaya kisi ki tamanna liye hoye
Woh dil ke jis pe koun-o-makan ko guroor tha

Khilta tha kabhi jis mein tamanna ka shagofa
Khirki woh bari dair se weeran pari hai

Kis dil mein bo rahe ho tamanna ke bij-o-kham
Yeh dukh ki sar-zamin to kale kale gulaab de

Tujhe ko chuu loon tu aae jaan tamanna mujhe ko
Dair tak apne badan se teri khushboo aaye

Woh to kuch tum se mohabbat si ho gaye warna
Hum woh khud hain ke apni bhi tamanna na karen

Tu usse apni tamannaon ka markaz na bana
Chand harjaaye hai har gher mein utar jata hai



Posted on 7/22/2005 1:13:05 PM

very nice

Posted on 7/23/2005 2:22:23 AM

nice

Posted on 7/25/2005 10:55:36 AM


Posted on 7/25/2005 11:57:25 PM


Posted on 7/26/2005 3:13:30 PM

nimz:
Qurbat to bari cheez hai aae jaan-e-tamanna
Iss dil ki tassali ko tera naam buhat hai

Kabhi sooraj ki tamanna nahi baaqi
Roshni chor gaye dil mein andhera aisa

Lo bujh gaya kisi ki tamanna liye hoye
Woh dil ke jis pe koun-o-makan ko guroor tha

Khilta tha kabhi jis mein tamanna ka shagofa
Khirki woh bari dair se weeran pari hai

Kis dil mein bo rahe ho tamanna ke bij-o-kham
Yeh dukh ki sar-zamin to kale kale gulaab de

Tujhe ko chuu loon tu aae jaan tamanna mujhe ko
Dair tak apne badan se teri khushboo aaye

Woh to kuch tum se mohabbat si ho gaye warna
Hum woh khud hain ke apni bhi tamanna na karen

Tu usse apni tamannaon ka markaz na bana
Chand harjaaye hai har gher mein utar jata hai


very nice again ji

Posted on 7/26/2005 3:14:33 PM

good

Posted on 8/1/2005 5:48:26 PM