Logo

Amir Virdan’s Personal Poetry Collection

Asslam o Alaikum Friends,

Mein yahan per apni personal poetry send kar raha hon aur aap logo se umeed karta hon keh aap sab apnay comments dein gay kiyon keh aap k words mairay liyay bohat qeemti hain mein koi baqaida poet nahee hon bus shauq ki takmeel k liyay hay yeh sab aur mujhay pata hay keh is mien bohat se khaniyan hon gi bal keh dosray aur wazeh lafzo mien kaha jaiay to yeh ghaltiyo ka ijtimaa ho ga magar ap inhain bardasht kar leejiyay ga Thanks

Posted on 9/27/2005 11:32:06 PM


Posted on 9/27/2005 11:35:00 PM


Posted on 9/27/2005 11:36:41 PM


Posted on 9/27/2005 11:39:35 PM

Tairi Yaad Aa Rahi Hay

Hijar Ke In Lamhon Mein
Jab Har cheez Chhin Gai Hay
Aur Mairay Sar Pe
Dard Ki Chadar Tan Gai Hay
Magar Zindagi Geet Ga Rahi Hay
Hamein Tairi Yaad Aa Rahi Hay

Talb-e-Vasal Nahee Rahi Kabhi Hamein
Kiyon Keh Hum Shauq-e-Janoon Mein
Vasal Ko Bhool Chukay Hain
Hijar Ko Kar Wasool Chkay Hain
Magar Tum Be Chain Phir Rahay Ho
Vasal Ki Tamanna Liyay
Janay Kiyon Tum
Hijar Se Na Shanas Lagtay Ho
Agarcheh Dor Ho Phir Bhi
Dil Ke Pass Lagtay Ho
Dard Se Be Haal Hain Hum
Magar Dunya?????????????
Muskara Rahi Hay
Hamein Tairi Yaad Aa Rahi Hay

Saray Magan Hain Apnay Haal Mein
Ik Hum Phansay Hain Tairay Khayal Mein
Andhairi Raaton Mein Hum
Tairi Yadon Ke Hum
Dil Mein Charagh Liyay Phirtay Hain
Qurbat Ke Lamhon Mein Bhi Hum
Hijar Ke Dagh Liyay Phirtay Hain
Agarcheh Chandni Sath Nabha Rahi Hay
Hamein Tairi Yaad Aa Rahi Hay

Mehv-e-Guftagoo Thay Tum
Magar Dhayaan Kahee Aur Tha
Dil Kahee Aur Tha
Gumaan Kahee Aur Tha
Kiyon keh Aksar Jaan-e-Amir Hum
Tairay Khadokhal Mein Uljhay Rehtay Hain
Magar Ahista Ahista
Tairi Sorat Hum Se Door Ja Rahi Hay
Hamein Tairi Yaad Aa Rahi Hay..........
Hamein Tairi Yaad Aa Rahi Hay..........



Posted on 9/27/2005 11:43:03 PM


Posted on 9/27/2005 11:46:49 PM


Posted on 9/27/2005 11:49:01 PM

sari achi hain lakin second wali ziada achi hai
or han esi tarahn apni poetry sunatay rehna.

Posted on 9/27/2005 11:49:19 PM


Posted on 9/27/2005 11:50:48 PM


Posted on 9/27/2005 11:53:56 PM

mmja:
sari achi hain lakin second wali ziada achi hai
or han esi tarahn apni poetry sunatay rehna.


Thanks a lot 4 ur appreciation aap chatdd forum per bhi hain na

Posted on 9/27/2005 11:56:59 PM

King of jb:

Thanks a lot 4 this clapping mod

Posted on 9/28/2005 11:14:52 PM

Following are really Marvelous..


Posted on 9/29/2005 9:44:34 PM

Pls take more ISLAH,,,from someone and go for your Book,,,

Posted on 9/29/2005 9:48:07 PM

new_beau:
Pls take more ISLAH,,,from someone and go for your Book,,,

bhai islah k liyay he to koi nahee koi correction hekar de is mien yahi khawahish hay kiyon keh is mein wazan ki bari mistakes hain aur bhi kuchh hon gi agar aap kar sako to mien aap ka shukar guzaar hon ga i m waiting

Posted on 9/29/2005 10:54:12 PM


Posted on 9/30/2005 3:10:18 AM

Fairl_Girl:

Thanks 4 this

Posted on 9/30/2005 10:54:19 PM

last

Posted on 9/30/2005 11:31:55 PM

mmja:
last

Thanks

Posted on 10/1/2005 12:00:03 AM


Posted on 10/1/2005 12:08:12 AM


Posted on 10/1/2005 12:10:06 AM


Posted on 10/1/2005 12:13:56 AM


Posted on 10/1/2005 12:19:17 AM


Posted on 10/1/2005 12:21:40 AM


Posted on 10/1/2005 12:24:57 AM

~Fragi~:

Thanks

Posted on 10/1/2005 12:47:10 AM

Virdan:
new_beau:
Pls take more ISLAH,,,from someone and go for your Book,,,

bhai islah k liyay he to koi nahee koi correction hekar de is mien yahi khawahish hay kiyon keh is mein wazan ki bari mistakes hain aur bhi kuchh hon gi agar aap kar sako to mien aap ka shukar guzaar hon ga i m waiting


I will love to do it for you...But Tell me in which city are yoyu...I can try to guide you towards some Adabi Circles...

Posted on 10/1/2005 1:10:56 AM

new_beau:
Virdan:
new_beau:
Pls take more ISLAH,,,from someone and go for your Book,,,

bhai islah k liyay he to koi nahee koi correction hekar de is mien yahi khawahish hay kiyon keh is mein wazan ki bari mistakes hain aur bhi kuchh hon gi agar aap kar sako to mien aap ka shukar guzaar hon ga i m waiting


I will love to do it for you...But Tell me in which city are yoyu...I can try to guide you towards some Adabi Circles...


i m from Gujranwala

Posted on 10/1/2005 1:36:51 AM

If you visit Lahore on Weekend....Go to TEA HOUSE....

Its located near NEEL GUNBAD on Mall Road...

If you go to ANARKALI on Mall Road.///The Traffic Singnal before the Bus Stop of AnarKali...If you are going from CHAIRING CROSS side...

On that Signal you will find TEA HOUSE behind BASHER SONS SHOP.,...

Attend some Gatherings of HALWA-E-ARBAB-E-ZOUQ ...which held every friday Seven PM...I am not aware about Ramzan Timmings but you can visit there after Eid....

Go there and speant three or four weekend regulary....You will get many friends There...FARHAT ABBAS SHAH and Munir NIAZI saab comes regulary there....Also you can met GUL-E-NOUKHAIZ AKHTAR....He is a smart guy...


Make Link there...and you will get improvement...

Best Of Luck.,...Also When I will come to Pakistan..I will met you ...Til then bye.....I will comments on your news Posts Tomorrow...Inshallah.....Till then ...Fi AmanAllah

Posted on 10/1/2005 1:44:11 AM

Thanks a lot dear bro 4 this help i will try my best

Posted on 10/1/2005 1:48:09 AM

Good Long Poem above...Tawaalat nay Nazm mainn Kuchh dilchaspi kum ker di hay...
Ooper kay 75 Percent Hissay mainn Mohabbat aur Aqeedat ka Concept Mix hay...Jiss say Confusion hay...

Magar Aakhri Hissay mainn Clarity hay....Concept bohat Achha hay...

Iss nazm ko Baar Baar perho aur Thori Mukhtasir kero...

Mohabbat mainn QURBET ki Zaroorat...aur Aqeedat kay WAJDAAN ko ..aap nay Kaafi Khoobsurti say Bayaan kiya hay...MashAllah

Posted on 10/2/2005 12:19:31 AM