Logo

" woh jo...... "

zikr e shab e firaaq se vehshat usse bhi thi
meri tarha kissi se mohabbat usse bhi thi

mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki deed ka
rasta badal k chalne ki aadat usse bhi thi

uss raat deir tak voh raha mahv e guftugu
masroof me bhi kam tha faraghat usse bhi thi

sunata tha woh bhi sab se purani kahaniyan
taaza rafakaton ki zaroorat mujhe bhi thi

mujh se bichar k shehr mei ghul mil gaya woh shaks
halaanke shehr bharr se rakabat usse bhi thi

woh mujh se barh k zabt ka aadi tha jee gaya
varna har aik saans kayamat usse bhi thi

Mohsin Naqvi

Posted on 10/18/2005 7:34:55 PM

I like it...


Posted on 10/18/2005 7:38:04 PM

mujh se bichar k shehr mei ghul mil gaya woh shaks
halaanke shehr bharr se ADAAWAT usse bhi thi




Meri Zindagi ka saramaya hay yeh Shair...I love it a lot

Posted on 10/18/2005 10:25:37 PM

Aik Shair missing hay iss main...


"Saye say Piyaar dhoop say Nafrat ussay bhi thi"

Posted on 10/18/2005 10:26:46 PM

2 sher missing hain

Tanha hua safar main to mujh par khula ye bhaid
saaye se pyar dhoop se nafrat usay bhi thi

Mohsin main us se keh na saka Yun bhi haal-e-dil
dar-paish aik taaza museebat usay bhi thi..

Posted on 10/19/2005 2:00:53 AM

Thanks Doc_Sam

Posted on 10/19/2005 10:23:51 PM

Thanks ki zaroorat nahi hey,,,


Posted on 10/20/2005 6:03:01 AM