Logo

such keh raha hai dewana dil

aisa kyun hota hai k hum jiss per appnai sai bhi ziyadah trust kartey hain apnai app sai bhi ziyadah pyaar kartey hain wohi insaan humara trust tourd daita hai

Posted on 11/3/2005 8:11:10 AM

aur kia hai nah itna saab ho janey k baad bhi hum uss sai pyaar karna nahin chourd daitey aisa kyun hai yeh pyaar kaisa hai?

Posted on 11/3/2005 8:13:35 AM

woh mujh sai aksaar kehti thi k tujhey appna bana k chourdon gi
aur phir yun hi hova uss nai appna banaya aur chourd diya

Posted on 11/3/2005 8:15:48 AM

kia kia nah soucha tha main nai
kia kia nah sapnai sajaye
kia kia nah chaha tha dil nai
kia kia nah armaan jagaye
ess dil sai toufaan guzartey hain
tum bin tu jeetai nah martey hain
aa jao lout kaar tum yeh dil keh raha hai

Posted on 11/3/2005 8:17:21 AM

yey dunia key kuch facts heyn
jo key ghattia tareen hein

hum u ko support kertey hein is ghari mein

Posted on 11/4/2005 12:58:11 AM

kia support kaar saktey hoo app ess time tu haar koi akaila ho jata hai

Posted on 11/5/2005 2:27:13 AM

moral support ki koshish

Posted on 11/6/2005 1:04:31 AM

shy_princess:
aisa kyun hota hai k hum jiss per appnai sai bhi ziyadah trust kartey hain apnai app sai bhi ziyadah pyaar kartey hain wohi insaan humara trust tourd daita hai

yeh is duniya ka dastoor hia

Posted on 11/6/2005 1:06:48 AM

shy_princess:
aisa kyun hota hai k hum jiss per appnai sai bhi ziyadah trust kartey hain apnai app sai bhi ziyadah pyaar kartey hain wohi insaan humara trust tourd daita hai

yeah ya tu hota hai... i just loging to post a reply here coz ur topic sumhow dipicts my story.... aisa hota hai k hum pyar kartay hain tu sab say zada trust bhi usi pay kartay hain jis say pyar kar baith tay hain aur wohi insaan humara trust toor daita hai....

shy_princess:
aur kia hai nah itna saab ho janey k baad bhi hum uss sai pyaar karna nahin chourd daitey aisa kyun hai yeh pyaar kaisa hai?

n haan woh humain jitna bhi bora kah day hum najanay kyon us say nafrat nahin kar patay.... i stayed alone widout HIM for 9 and a half months but culdnt hate him for a milisecond...culdnt hate him i dont know y... halanaky he left jabkay itnay promises kiyay thay sath rahnay k....

shy_princess:
woh mujh sai aksaar kehti thi k tujhey appna bana k chourdon gi
aur phir yun hi hova uss nai appna banaya aur chourd diya

aaisa hi hota hai apna bana kay aaisay aram say chor jatay hain jaisay kuch hoa hi nahin... peechay hum rah jatay hain un yadoon kay saharay jo woh humain day jatay hain...

shy_princess:
kia kia nah soucha tha main nai
kia kia nah sapnai sajaye
kia kia nah chaha tha dil nai
kia kia nah armaan jagaye
ess dil sai toufaan guzartey hain
tum bin tu jeetai nah martey hain
aa jao lout kaar tum yeh dil keh raha hai

kia kia nah soucha tha main nai
kia kia nah sapnai sajaye
kia kia nah chaha tha dil nai
kia kia nah armaan jagaye
aa jao lout kaar tum yeh dil keh raha hai

aur phir agar woh laut bhi aay tu yahi dar laga rahta hai k phir chor day ga... coz aik baar aaisa ho chuka hota hai.....

life is so cruel n so is our heart....

Posted on 11/6/2005 1:11:25 AM

yeah life is so creul

Posted on 11/6/2005 1:12:54 AM

dipsominiac app sahi keh rahi hoo per kia kare insaan pyaar appni maarzi sai tu nahin kia jata yeh tu ho jata hai

Posted on 11/6/2005 4:53:18 AM

yea shy_p really insaan pyar marzi say nahin krta... ya tu bus ho jata hai... but jo humara dil toor daitay hain woh apni marzi say jan boojh kay kartay hain coz jab excuses daitay hain tu woh unrealistic n unblvable hotay hain.... but khair... aik aaisi zaat hai jo sab daikh rahi hai woh zaat sab janti hai sab kay dil kay haal janti hai us say kuch nahin chupa hoa... aur woh zaat Allah ki hai...
woh sab kay dard dukh samhajta hai aur insaaan ko itna hi dukh aur dard aur imtehan laita hai jitna insaan bardasht kar sakay...
khair dont worry everything will be ok...
ya daar kay woh insaan apko chor jaay ga trust toor day humesha sath rahta hai coz aik baar woh yah kaam kar chuka hota hai...

Posted on 11/6/2005 7:30:32 PM

deikhoo yaar daar nahin hai mujhey bcoz wo abhi tuk wapis nahi ayaa
mujhey uss ka inteezar nahin karna chahiye uss sai nafraat karni chahiye per yeh hota hi nahin mujh sai

Posted on 11/7/2005 1:52:29 AM

ya all guyz are really hurt

Posted on 11/7/2005 2:16:07 AM

larkey tu hurt kartey hain hotey nahin hain
putta nahi kia milta hai enhain girls ko rulaa kai

Posted on 11/7/2005 3:01:51 AM

shy_princess:
deikhoo yaar daar nahin hai mujhey bcoz wo abhi tuk wapis nahi ayaa
mujhey uss ka inteezar nahin karna chahiye uss sai nafraat karni chahiye per yeh hota hi nahin mujh sai

exactly plz plz plz intezar na karna plzzz.... i know sab yahi kahain gay k wait for him dont worry he will be back... but im telling u from my experience... i waited for him for gud long 9 and a half months i cried for him i stopped eating my parents were really worried i suffered from kidney problem (it has started again) n den one day he came back coz i cried for him like a Bitch... n kia hoa... aj phir wohi hoa na... ab main kahti hoon... IM LEAVING HIM I WAS WRONG WEN I WAITED FOR HIM... I RUINED MY LIFE FOR A GUY WHO NEVER RESPECTED ME...

nafrat karna mushkil hai but plzzz intezar mat karna

Posted on 11/7/2005 2:09:07 PM

i said all u guyz are sad princess
dont be

Posted on 11/8/2005 12:54:03 AM

~dipsominiac~:

inteezar karna nahin chahate per phir bhi aik aas aik umeed abhi bhi hai shayed wo aa jaye shayed ussey appni ghalati ka ehsaas ho jaye shayed wo bhi sincere ho jaye

Posted on 11/8/2005 2:36:21 AM

jb members app loag bhi appni feelings share kaar saktey hain

Posted on 11/9/2005 1:30:58 AM

BadShaH1:
i said all u guyz are sad princess
dont be

sorry jee my mistake

Posted on 11/9/2005 1:38:59 AM

shy yarrrr
batanye ke liye raha hi kuch nahi hia

Posted on 11/9/2005 2:03:30 AM

hmmmm
anyways humara phir sai patch up ho gaiya hai

Posted on 11/10/2005 3:13:13 AM

abhi pichle page per app ro rahai thai aur abhi hans rahai hai is ka kiya raaz hai humare saath aisa kabhi nahin hua hai.

Posted on 11/10/2005 5:21:47 PM

itna jo muskra rahey ho
kia ghum hey jo chupa rahey ho

Posted on 11/11/2005 12:59:36 AM

ghum chupane se nahin chupta
tum kaho to bata dain sab

Posted on 11/14/2005 7:48:41 PM

pyaar chupane sai nahin chupta
ghum tu chup jata hai
kabhi try karna kiran

Posted on 11/15/2005 2:13:11 AM

han her tarah se lagta hai ke ghum chup gea hai per tum kabhi zayada hansne waloon ki ankhoon main dhekhna, ankhain kabhi jhuut nahin boltin....

Posted on 11/15/2005 7:26:14 PM

haye...

Posted on 11/16/2005 2:21:43 PM

ankhain bhi abb jhoot bolti hain
ager itna hi ankhein sach bolti hotein
tu koi insaan kabhi dhoka nah khata

Posted on 11/20/2005 6:06:16 AM

sahi kaha
dholey baaz ankhein
very dangerous

Posted on 11/24/2005 1:44:51 PM

bilkul
yehi tu main keh rahi hon
k ajj kal kahin bhi sachayi nahi yeh gayi
kahin bhi masoomiyat baki nahi reh gayi
app kissi pai trust nahi kaar saktey

Posted on 11/27/2005 12:08:56 AM