Ye jo sham dhal rahi hey
isay sehl bhi na jano
ye theher gai jo dil main
ye hi shub halakton ki
ye hi dopeher kardi hey
pas-e-gard-e-Ehd-o-PaimaaN
ye jo hijr ki ghardi hey
ye fishaar-e-jaan ka mosam
ye jo dil garaftagi hey
ye jo wehm hey lahu main
ye jo sehm aankh main hey
ye sinaan c waswasoN ki
jo khyaal main gardi hey
ye jo ik khalish wafa ki
tera jor seh gai hey
ye jo unkahi kahani
mere dil main reh gai hey
ye thakan rah-e-janooN ki
jo utar gai ragoN main
ye teri meri khushi hey
ye charaagh chahtoN k
jo hawa main jal rahay hain
inhain kab talak sanbhalain
chalo phir se tord dalain
wo tamaam ehd-o-PaimaaN
k main tujh main g raha hun
k tu mujh main buss raha hey
chalo phir se sochtay hain
k main tujh se na-shanaasa
k tu mujh se ajnabi hey
ye jo rasm-e-dosti hey
ye rahay to jaaN salaamat
na rahay to phir bhi janaaN
tera ghum sanbhalnay ko
abhi zindagi pardi hey
Mere liye kon sochta hey.
juda juda hain mere qabeelay k log saray
juda juda sab ki sooratain hain
sabhi ko apni anaa k andhay kunwain ki teh main parday huye
khwahishon k pinjar
hawas k tukrday
hawaas raizay
haraas kankar talaashna hain
sabhi ko apnay badan ki shah-rug main
qatra qatra lahu ka lawa undelna hey
sabhi ko guzray dinon k darya ka dukh
waraasat main jhelna hey
mere liye kon sochta hey
sabhi ki apni zarooratain hain
meri ragain cheelti jaraahat ko kon bakhshay
shifa ki shubnum
meri udaasi ko kon behlaaye
Kis ko fursat hey mujh se poochay
k meri aankhain gulaab kion hain
meri mushaqqat ki shaakh-e-uryaan pe
sazishon k azaab kion hain
meri hatheli pe khwab kion hain
mere safar main saraab kion hain
mere liye kon sochta hey
sabhi k dil main kadooratain hain
Mohabbat ki kahani main bardi dushwaar ghaatain hain
mohabbat amn ki sathi
Mohabbat chain ki dushman
ye ik dasta hey phoolon ka
ye hey kaanton bhara daman
Ajab kirdaar hain is k, anokhi in ki baatain hain
Ye hey ik aag ka paikar
yehi shabnum ka qatra bhi
ye hey ik habs ka aalam
yehi khushbu ka rasta bhi
Andheri hey sehar iski,Chamakti iski raatain hain
Mohabbat ki kahani main bardi dushwaar baatain hain