Logo

muqadas kalam ki behurmati

topic is not new,we all know that as muslims it is our duty to preserve the papers that have quranic verses,ahadis and names of sacred ppl written on them.infact if i'm not wrong,even the plain piece of paper is sacred according to islam.but so few of us care abt it.so many times i have seen samosa,pikoras wrapped in a paper that bears some islamic topic etc.some times these papers are found lying along the roads.is'nt that a sin?

Posted on 12/22/2005 9:32:08 PM

Yes it is?

Likin aik baat par aap sab kee tawaja dilana chahoon ga kay ham loog sirif un papers ka user gunah samajhtey hain jin par koe religious material hota hay. Halaankay agar aap ghoor karain tu ye baat samajh main aatee hay kay jo characters kisi ilsamic material (e.g. Quarnee aayaat, Hadees Mubarakah etc. ) main use hotay hain same characters har material keliye use hotay hain chahay wo religious ho ya nahee. Aik Hadees main hay kay Aik daffa aik shakas ka guzar aese jaga se howa jahan par kuch young boys aik wall par Abu-Jehal ka name write kar kay us par teer andazee kar rahay thay to us shakhs ne un se kaha kay is tarah se name kee be-hurmatee hotee hay. to boys ne aesa karna band kar diya kuch der baad jab wo shakhas dubaraa wahan par aaya to us ne dekha kay boys ne abu-jehal koo mila kar likhne kay bajaey alag alag kar kay yanee Alif, Bay, Waoo, Jeem, Hay, Laam, likha howa hay or un par teer andazee kee mashq kar rahay hain to unhoon nay kaha kay ye bhee nahee karoo inhee characters ko combined karoo gay to phir name ban jaye ga tu soochain kay jab abu-jehal name par aesa karne say mana kiya hay to phir muslims kay name to bohat achay hotay hain. or aaj har taraf newspaper bikhray paray hotay hain. Ham ko koshish karnee chahiye kay is se bachain or doosroon koo bhee bachain.


Posted on 12/23/2005 3:52:36 PM

hmmmm ye baat bilkul theek likhi hey aap ne aikalone..
humain care kerni chahiye, atleast i try my best k koi paper jis pe kuch likha ho, usay dheyan se use keroon..


Posted on 12/25/2005 7:31:05 PM

yes,aikalone is very right.but aik bat ye k hum papers ko kahan karain ager we no longer need them?

Posted on 12/26/2005 6:43:52 PM

Jis tarah se ham quran paak ko joo shaheed ho jate hain un ko dariya main ya samander main daal dete hain mera khayal hay kay others papers keliye bhee isi tarah karna chahiye.

Any other suggestions?

Posted on 12/27/2005 1:28:42 PM

great

Posted on 12/28/2005 7:16:33 PM

hmmm,,, dont know wot to say
aisa kai baar hua k pak mei akhbar mei lapeit k cheezein ghar laate hein aur phir woh kagaz dust bin mei,,, aur wakai un papers pe hadees wagera likhi hoti hein
i ve seen log parwa tak nahi karte kyun k unn ki adat mei shamil hai yeh sab,, i noticed it several times par shayad iss liye k mere liye yeh roz ka mamool nahi hai

saada kagaz k baare mei bhi jo aap ne kaha,,, mujhe yeh baat ab samajh nahi aati,, does it mean we shd stop using papers ??

itne newspapers, magazines aur baki papers ka kya karein ??

hum log zameen pe kabhi koi paper ya koi bhi koora nahi phenkte,, we use dust bins and even papers liye yahan recycling sys hai,, par still hota to woh dust bin hi hai na

Posted on 12/30/2005 3:49:23 PM