Logo

..........kaun


pa-ba-gil sab hein rihaee ki kare tadbeer kaun
dast-basta shehr mei khole meri zanjeer kaun

mera sar hazir hai lekin mera munsif dekh le
kar raha hai mere fard e jurm ki tehreer kaun

aaj darwazon pe dastak jaani pehchani si hai
aaj mere naam laata hai meri tazeer kaun

neend jab khaabon se pyaari ho to aise ehd mei
khaab dekhe kaun aur khaabon ko de tabeer kaun

ret abhi pichle makanon ki na wapis i thi
phir lab e sahil gharonda kar gaya tameer kaun

saare rishte hijraton mei saath dete hein to phir
shehr se jaate hue hota hai daaman-geer kaun

meri chadaar to cheeni thi shaam ki tanhai ne
be-ridaee ko meri phir de gaya tash'heer kaun

dushmanon k saath mere dost bhi azaad hein
dekhna hai khenchta hai mujh pe pehle teer kaun

Posted on 12/26/2005 2:26:23 AM

aaj darwazon pe dastak jaani pehchani si hai
aaj mere naam laata hai meri tazeer kaun


Posted on 12/26/2005 9:10:26 AM

dushmanon k saath mere dost bhi azaad hein
dekhna hai khenchta hai mujh pe pehle teer kaun



infact the whole ghazal is classic... bohat achi hey...


Posted on 12/26/2005 12:24:24 PM

saare rishte hijraton mei saath dete hein to phir
shehr se jaate hue hota hai daaman-geer kaun

Posted on 12/26/2005 6:05:04 PM

thnnxxxxxxxxxxxxx

hmm,,
sab ko alag alag sher pasand aae
yani k ghazal pooori ki poori zabardast hai
hmmm
thnxxx

Posted on 12/26/2005 8:33:16 PM

SALL ...     (Kabhi kabhi )

Posted on 12/26/2005 9:23:39 PM

woow sall ji its really very nice

Posted on 12/27/2005 1:40:15 PM