Logo

hum itne ghafil kiu hai?

salam to all mominsssssss
aaj jo sawal mere zehan mai hai wo shayad aap sab k zehano mai bhi hoga k hum apne deen se apni saqafat se apne culture se itne ghafil kiu hai?kiu hum angrezo ki taqleed kar rahe hai?kiu hum unk culture ko zada civilized samajhte hai?kiu?????????????
aaj kal ek aam misaal lele k gharo mai log zameen per bethna acha nahi samajhte or sofo per beth k apni shaan ko barha hua mahsoos karte hai,khana zameen par nahi dinning table per khaayenge,qameez shalwaar pehenene mai inko sharam aati hai,bache ko kalma sikhaane k bajaye abc sikhaate hai
mai ye nahi kahti k hume knowledge se door hojana chaahiye balke mai ye kahna chaah rahi hoo k islam mai jis tara ek aam aadmi ki lfe ko bayan kia gaya hai agar hum usko prefer kare or us pe chale to koi waja nahi k hum duniya ki saari kamyaab quamo se bhi aage barh jaaye
wat do u say?????????????

Posted on 1/9/2006 9:06:04 PM

w slaam


because aaj kal hum aamal par nahi maal par ziada zor day rahe hain i think

Posted on 1/10/2006 2:47:51 AM

hmmm,,
well, i think hum log hamesha se LOGON ki taqleed karte aae hein, apne mazhab ki nahi
jab sab log aik kaam karte the to hum bhi unn k peeche peeche chal parte the,,

ab wakt badal gaya hai,, new tech ki waja se dunya choti ho gai hai, we call it now 'global village'
faasle kam ho gae hein, sahoolatein zyada ho gai hein,, and we ve realised that the majority of ppl dont follow Islam,,, Y SHD WE

Posted on 1/19/2006 10:49:58 AM

i think thats not a reason k fasle kam hogaye,or technology aagayi,agar hum tarreekh dekhe,to hume pata chalta hai k physics,astrology,biology,chemistry,maths ........etc etc ye sab muslims hi ne to ijaad kiye hai,kia hum parde mai rah kar apne ikhlaqi iqdaar mai rah kar zindagi nahi guzar sakte,jab iraan ki models burqa pahan sakti hai to hum paint shirt or chhote chhote suits ko chhor ker saada kamizshalwar nahi pahan sakte???????????hum mazhab k ander reh k technology use nahi kar sakte?even ek baat bata doo k sab se pehle quran pak mai hi zikr hua hai k inssan chand tak par pohonch jaayega,to jab humara mazhab itna advance,itna cultured or civilized hai to hum kiu,farangio ki taqleed karte hai,gher muslimo ki naqal karte hai?

Posted on 1/19/2006 3:38:55 PM

u didnt get me
baat developement/tarakki ki nahi hai,, baat zehn badalne ki hai.. naee dunya aur naee kadron ki hai
baat kache imaan ki hai jo auron ko dekh k kamzor par jata hai

it has nothing to do with chaand pe jana or wotever
(btw quran pak mei kahan likha hai k insan chaand pe pohonch gae ga??)

and to answer ur quest,, ghair muslims ki taqlid
to janab YES YES and YES
that s y i said kamazor imaan.. hum log islam ko dil se nahi mante,, sirf iss liye mante hein k hum aik "so called islami mulk" mei rehte hein,, aisi families se taluuk rakhte hein jo muslim hein,, and we dont really have choice
Islam civilised hona aur muslims ka civilised hona do alag alag cheezein hein

Posted on 1/24/2006 11:37:56 PM