Logo

..uthti hai harr nigaah ~,,,

Hum hein mataa e kuucha o bazaar ki tarah
uthti hai har nigaah khareedar ki tarah

iss kuu e tishnagi mein bohot hai ke aik jaam
haath aa gayaa hai daulat e bedaar ki tarah

woh to hein kahin aur magar dil ke aas paas
phirati hai koi shae nigah e yaar ki tarah

seedhi hai raah e shauq pa yun hi kabhi kabhi
kham ho gai hai gesu e diladaar ki tarah

ab jaa ke kuch khulaa huna e nakhuun e junoon
zakhm e jigar hue lab o rukhsaar ki tarah

'Majrooh' likh rahe hein vo ehl e wafa ka naam
ham bhi khade hue hein gunahagaar ki tarah



Posted on 1/21/2006 1:08:48 PM

Majrooh' likh rahe hein vo ehl e wafa ka naam
ham bhi khade hue hein gunahagaar ki tarah



Posted on 1/21/2006 5:13:03 PM

seedhi hai raah e shauq pa yun hi kabhi kabhi
kham ho gai hai gesu e diladaar ki tarah

Posted on 1/21/2006 7:02:14 PM

Hum hein mataa e kuucha o bazaar ki tarah
uthti hai har nigaah khareedar ki tarah

Posted on 1/21/2006 7:56:27 PM



Wah MaShAllah...Majrooh Sultan Puri Saheb

Posted on 1/22/2006 9:27:45 PM

kuch hamari bhi tareef kar do naya bhai jii




seeeeeeeee,,
sab ko pasand i,, i loovvvvvved it
spec 1st, 3rd and 6th one

Posted on 1/23/2006 12:56:51 AM