juz tere koi bhi din raat na jaane mere
tu kahan hai magar aae dost puraane mere
tu bhi khushbu hai magar mera tajassus bekaar
bark e avaara ki manind thikaane mere
shama ki lau thi k woh tu tha,, magar hijr ki raat
deir tak rota raha koi sirhaane mere
khalq ki behkhabari hai k meri rusvaee
log mujh ko hi sunaate hein fasaane mere
lutt k bhi khush hu k ashkon se bhara hai daaman
dekh gaarat gare dil yeh bhi khazaane mere
aaj ik aur baras beet gayaa uss k bagair
jiss k hote hue hote the zamaane mere
kaash tu bhi meri avaaz suntaa ho
phir pukaara hai tujhe dil ki sadaa ne mere
kaash tu bhi kabhi aa jaae maseehai ko
log aate hein bohot dil ko dukhaane mere
kaash auron ki tarha me bhi keh saktaa
baat sunn li hai meri aaj Khuda ne mere
tu hai kis haal mei aae zuud faramosh mere
mujh ko to cheen liya ehd e wafa ne mere
chaaragar yun to bohot hein magar aae jaan e Faraz
juz tere aur koi gham na jaane mere