tumhain milain kabhi fursatein
merey dil sey boojh utar doo
main bohat dinoo sey udas hon
mujhay koi shaam udhar doo
mujhay apney roop ki dhoop do
key chamak sakein merey khaal-o-khat
mujhay apney rang main rang doo
mera sara zang uthar doo
kissi or ko merey haal sey
na gharz hai na koi wasta
main bikhar gaya hon sameet lo
main bikhar gaya hon sanbhaal lo
wahan gher main kon hai muntazir
key ho fikr dair saweer ki
bari mukhtasir si yeh raat hai
issey chandni mein gusaar do
koi baat kerni hai chand sey
kissi shakhsaar ki ooth mein
mujhay raastey mein yahin kahin
kissi jangle main utaar do
jin khawahishoon ko dekhta rehta tha khawab mein
ab likh raha hon in ko haqeeqat key khawab mein
ab jheel key kinarey parindoon key darmiyaan
souraj ko hotey dekha hai tehleel mein
khawabon peh ikhtiyaar na yadoon peh zoor hai
kab zindagi guzar di apney hisaab mein
ik haath us ka jaal mein patwar eik mein
or doobta wajood seeney aab mein
purwai chal key or bhi wehshat berha gai
halki si aai thi kami izteraab mein
Na sawal ban kay mila karoo,
na jawab ban kay mila karo
Meri zindagi meray khuwab hain,
Mujhay khuwab ban kay mila karo
Mujhay achay log buhat milay
main un kay qaraz say mer gaya
Jo ho sakay to kabhi kabhi
mujhay kharab ban kay mila karo
Kia poochtay hoo hijir mai kia kiya kartay hain
Teray loot aanay ki din raat dua kartay hain
Kabhi yadoon mai tujhay bahoon mai bhar laytay hain
Kabhi khuwaboo mai choom liya kartay