Logo

.. maafi in a min ..

hmmmmmm...
plz try to understand this topic,, koi galt matlab na le plz



u must have heard/read loads of times
* 2 min mei apne saare gunah maaf karwa'ain
* 100 baar yeh tasbeeh karein aur 70K naikiyon ka sawab lein
* flana wazeefa karein aur jannat mei mehel hoga
............ etc etc.


now the thing is
is life that easy,, jannat mei jana, saaaab gunah maaf karwana aur hazaron naikiyon ka aik min mei sawab lena
yeh sab itna asaan hai kya ??

me pooora din bohot galt kaam karu
aur raat ko sone se pehle aik tasbeeh kar lu, to kya meri tasbeeh mere sab gunahon ko erase kar de gi ??



can someone explain me yeh sab ka matlab kya hai ??

Posted on 6/10/2006 11:36:30 AM

dekhain SALL...

aik simple c baat hey... Islam humain baar baar moqa deta hey k hum apni naikiyon main izafa karain.. choti choti baatain c.. jinhain karna itna mushkil nahi hey...
aaam tor pe ye e samjha jata hey k mazhab ki baaton pe amal karna zara mushkil hey...

ab agar humain aisi oppurtunities milti hain. and we practice them .. to iska matlab ye hey k hum waqai ghalat kaam chord k apni naik amaal main izaafa karna chahtay hain..

Allah Ta'ala intensions janta hey... ahar jaan boojh k ye soch k ghalat kaam karain k baad main sab theek hoga aor isko habbit bana lain to ye ghalat baat hey...

i hope u get my point.. its what i understand...

Posted on 6/14/2006 10:20:59 PM

i got ur point daktar
par mera matlab yeh nahi tha k itni asaani se maafi mil jana galt hai
obv Allah miyan niyyat jante hein,, aur hakeekat to yeh hai k jo apne kiye pe sache dil se sharminda hota hai uss ko aik tasbeeh ya aik wazeefa kam lagta hai,, uss ki to sari zindagi maafi mangne mei guzarti hai
coz maafi ka waada hai,, par hum maafi mil jaane ka daawa to nahi kar sakte,, koi bhi nahi kar sakta


Allah miyan opportunity dete hein,, iss mei koi shak nahi
par hum log iss ka kya matlab aur faida uthate hein yeh jaane k liye topic banaya tha

Posted on 6/19/2006 12:39:04 PM

well sall.. ab ye to different logon k diff opinions hon gay na...
c if some other post comes..

Posted on 6/19/2006 11:44:55 PM

HAR MUSLIM KAY LEAY DUNAIN JAIL AND NON MUSLIMS KAY LEAY JANNAT
MAIN NAIN SUNA THA KAY JO BI MUSLIMS GUNNA KERTAIN HAIN UN KO US KI SAZA YAHAN MIL JAY GII AND AND KUCH KO DEATH KAY BAAD
SIS
APP KI BAAT PER AIK WAKIYA YAAD AYA
AIK AURAT JO BOHAAT BURIII THII BOHAAT US NAIN KABI NEEKI NAHII KI APNI LIFE MAIN..
AIK DIN WO AA RAHII THI TANGAIN MAIN TO BARISH THII US NAIN DAIKHA KAY AIK BILLI KA BACHA BARISH MAIN GEELA HO RAHA HAII AND SARDI SAY KANP RAHA HAII
US NAIN US KO UTHAYA AND GHAR LAY AYII AND KHAYAL RUKHA US KA
AND ALLAH NAIN US KI AIK NEEKI KI WAJA SAY SARY GUNA MAAF KER DEAY AND JANNAT MAIN JAGA DII,,
yay to ALLAH per haii app ki wo aik tasbi manzoor kary ya hazar,
aik min main maaf kary ya kabi nahii..

Posted on 6/20/2006 11:16:12 AM

so true HH
mujhe iss baat pe yakeen hai k Allah miyan jab chahein jo chahein kar sakte hein,,

par aik lamhe mei sare gunahon se paak ho jana yeh kissi kissi ki kismat mei hota hai,, lakhon karoron mei koi aik,, kaun jaane maafi ho ya na ho,, kya pata jo humein naiki lagti ho Allah miyan k nazdeek uss ki kya hesiyat hai
hum log apni akhrat k upper itna bara risk kyun lete hein ??????

Posted on 6/21/2006 12:04:35 PM

ab main ye sooch k saray ghalat kaam kerti hon k aik tasbeeh marnay say pehlay parh lon ge tu Allah Tallah mauf ker dein gay ... per problem ye hai k mujhay ye nahi pata k mainey marna kaab aur kis tarhaan hai, kia pata mujhay waqt he na milay itni sudden death ho .. ye hamari apni apni perception hai..

secondly touba ka matlab hota hai k ab sachay dil say gunnah ko maan laina aur AINDA NA KARNAY ka ehd kerna .. ye baad ki baat hai k ghalti dobara ho jaiy laiken maafi mangtay waqat ye baat zehn main ye baat honi chahyee k ye gunnah hum ney dobara nahi kerna ..

baat sirf intentions ki hai .. Allah Tallah hamari niyaat say achee tarhaan waqif hein ..

Posted on 6/26/2006 12:29:13 AM

right sis
but u know ALLAH SUB SAY PHALY HUMARI NIYET DAIKHAIN GAIN,

us aurat nain guna keay bohaat laken sirf aik billi ko bachaya and us ko maafi mil gyii,

APP KI BAAT PER MAIN YAY KAHOON GA KAY QIAMAT KAY DIN ALLAH TALA KAY SAMNAIN JUB GOOD AND BAD KA HISAB HO GA TO US KO TOLA JAY GA,,
AND HO SUKTA HAII APP KO TASBI PARTAIN HOON WO ZAYDA NEEKI WALA KAAM HOO,
MERY NAZDEEK ALLAH JUB CHAHAIN MAAF KARAIN AND JUB CHAHAIN NA KARAIN

APP SARA DIN GUNA KARAIN AND RAAAT KO MAAFI MANG KER SO JAYAIN KIYA PATA APP KO MAAFI MIL JAY

Posted on 6/26/2006 1:41:16 PM

areyy yarrrrrrrr
yehi to me keh rahi hu k
KYA PATA, HO SAKTA HAI ??????????

Allah miyan k saath karobar kar rahe hein kya
jo itttnnnne bare bare risk lete hein hum
jua thori haiii,,, zindagi hai
akhrat ki baat hai

kya pata jeet ja'ain
par kya pata haar ja'ain

niyyat ko me bhi samajhti hu,, par jiss ki niyyat achi hogi woh sirf 2/3 ache kaam kyun kare ga poori zindagi mei ???
isnt it funny k niyat to achi ho par amaal bure hon
GALTI aur GUNAH mei fark hota hai yarr


chori ki cheez wapis kar k jannat mei jaane ki umeed lagana kahan ki akalmandi hai
maaf karne wali to Allah ki zaat hai,,, no doubt abt it
par insaf karne wali bhi to Allah ki zaat hi hai na
yeh kyun bhool jate hein hum

Posted on 6/26/2006 3:03:48 PM

Allah swt says in Surat Al-Furqaun:

68. Those who invoke not, with Allah, any other god, nor slay such life as Allah has made sacred except for just cause, nor commit 4nication; - and any that does this (not only) meets punishment.

69. (But) the Penalty on the Day of Judgment will be doubled to him, and he will dwell therein in ignominy,-

70. Unless he repents, believes, and works righteous deeds, for Allah will change the evil of such persons into good, and Allah is Oft-Forgiving, Most Merciful.

Conditions of tauba include, repentance, firm and sincere belief, and righteous work (salah, siyam, paying alms to needy, enjoining good and forbiding evil...) There are no short cuts mentioned anywhere. Duas and tasbeehat may bring more mercy from Allah but are not enough by themselves. Sahabah would have adopted that route if it was true otherwise.

Posted on 6/28/2006 2:48:58 AM

thnxxxx SD



one more thing
have anyone of you ever noticed in Quran pak IMAAN and AMAL e SALEH hamesha saath saath aate hein
"ula e kallazeena amanu wa amel us salehaat"
have u ever tried to count k yeh line Quran pak mei kitna baar i hai ?????????

Imaan aur saleh amal jab Quran paak mei alag nahi hein to hum kaise alag kar sakte hein inhein ??
galti kissi se bhi ho sakti hai.. but then galti ko sahi karne liye SIRF tasbeeh ka ratta lagate raho
it sounds strange to me

Posted on 6/28/2006 12:30:00 PM

that exactly is what I mentioned in the reference above. Iman is hardly ever mentioned in Quran without Amal us Saleh (plural of aml). Zikr and Tasbeehat are part of Aamal, but are not comprehensive. Without required aamal, supererogatory actions loose their effectiveness.

Posted on 6/28/2006 9:44:12 PM

thnxxx SD

Posted on 7/3/2006 11:06:42 AM