kiran:
Khud kashi haram hai Islam main yeh sab jaante hain phir kjun yeh khud kash hamle ho rahai hain, yeh kiya hai koi samagha sakta hai mughey.
Mughey lagta hai ke yeh thoore se loog humare religion ko badnaam kerne ki koshish ker rahai kiya inka koi hal nahin hai.
Kiran ji,
Aapki himmat aur saafgoi ki daad deta hoon. Aaj ye Q. bahut se muslim logon ke dil mein hoga lekin vo ise kisi
public platform par disscus karne ki himmat nahin kar sakte. voh aisa sochte hein ki ye Q. karke kahin unhein "mazhab ke khilaf"(kafir?)na karar diye jae.
Sabhi jaante hein ki muslim log sabse zyada izzat apne
mazhab ki karte hein. Mazhab hi unke liye is duniya ki
har ek cheej se barrkar hei. Bas isi jazbaat ka istemal
kuch log apne phaide ya apni zid/janoon ko poora karne
ke liye kar rahe hein. Aur iska khamiyaza sabhi muslims ko utana parr raha hei. poori duniya mei in chand logon ki vazah se muslims ko burri nazar se dekha jane laga hei. Voh log jante hein ki agar islam ke naam par kiya to unki har galat harkat ko bhi poori muslim socaity ko support kana hi parrega. bas is tarah ek galt shuruaat ho gai aur phir uske baad halaat bad se badtar hote ja rahe hain. Ab condition ye ho gai hei ki muslims bhi ab samjh gae hein ki koi unke zazbaton (islam ke naam par) ka galat istemaal kar rahaa hei lekin phir bhi voh is topic par apni rai khul kar nahin de pa rahe hein, galat ko galat nahin kah pa rahe hein. unhe lagta hei ki
aesa karna kahin islam ki tauhin na man li jaye.
Jahan tak is masle ke hal ki baat hei to mein samajhta hoon ki aapne pahla kadam utha liya hei.aap ki tarha agar kuch aur log bhi galat ko galat kah pane ki himmat juta lenge to ye masla hal ho jaega. Lekin mein janta hoon ki ye thirra mushkil hei. Aap jaise logon ko islam ka nam lekar dabaa diya jaega aur aap log (mazhab ke liye apne jazbaton ki khatir) chup ho jaeinge aur mazhab ke naam par jo galat harkatein ho rahi hei unhe dekh kar ghutate rahenge.
Aap merei or se shabashi kabool kariye ki aapne galat ko galaat kahne ki himmat apne andar paida ki.