tere khyaal se lau de uthi hai tanhai
shab e firaq hai, ya teri jalwa aaraye
tu kiss khyal mei hai manzilon k shedaee
unhein bhi dekh jinhein raaste mei neend aee
pukaar ae jaras e kaarvaan e subh e tarab
bhatak rahe hein andheron mein tere saudaee
rah e hayaat mei kuch marhale to dekh liye
yeh aur baat hai teri aarzu na raas aee
yeh saniha bhi muhabbat mei baarha guzraa
k uss ne haal bhi pucha to aankh bhar aee
phir uss ki yaad mei dil bekaraat hai 'Nasir'
bichad k jiss se hui shehr shehr rusvaee