-- Shariat k aen mutabik --

2380 views 27 replies
Reply to Topic
Ashii

Age: 124
Total Posts: 31001
Points: 0

Location:
France, France
tell me one thing yar

hum logon ki zindagi mei konsa kaam shariyat ya islam k mutabik hota hai ??
konse kaam karte wakt hum yeh sochte hein k yeh jayaz hai k najayaz ??

our way of life
living style
society
soch
education
gvt
legislation

nothing is according to shariat
so y do we want "woman rights bill" in accordance with Quran and shariayt ???????????





pagal hein sab
sab k sabbbb pagal ho gae hein
just a way to create more and more pbs

Posted 16 Sep 2006

kiran says
hum kuch nahin ker sakte sawae appne app ko sahi kerne ke please sab koshish karo appne app ko sahi kerne ki
Posted 16 Sep 2006

Doctor Sam says
well sall... women rights bill ki baat nahi hey...
baat ye hey k agar hamara kuch bhi shariyat k mutabiq nahi hey to kam az kam hamain pehle step to lena chahiye..
i mean kya hum isko is sense main nahi le saktay.. k its a step.. a beginning..
mujhe women rights bill k baray main zyada nahi pata balkay shayad kuch bhi nahi pata k kya situation chal rahi hey...

aor doosri baat.. personally main ye women rights k shor k khilaaf hoon...
Posted 17 Sep 2006

Ashii says
u r right on one point
k yeh sirf SHOR hai,,, nothing else
kanoon shariat k mutabik ho ya khilaf halat tab change honge jab logon ki soch badle gi


areyyy yarrr
kahe ka first step, hum log iss first step se kabhi agay nikle hi nahi,, harrr aik baat issi first step pe aa k ruk jati hai
just feddd up
Posted 17 Sep 2006

Doctor Sam says
sall... Logon ki soch kese badle gi.. ????
socha jaye to ye aik kuch namumkin sa kaam hey... lekin mere khayal main Gov. k liye ye kaam na-mumkin nahi hey..
ye baat aap ne theek kahi.. k her baar baat First step pe a k ruk jati hey, magar mere jese log isko First step ka aaghaaz zamajh k zara optimistic ho jatay hain..

aor jahan tak baat hey ye women rights waghera ki, is baray main shayad agar main khul k kahoon to kuch logon ko bura lagay.. lekin sab bakwas hey...
Posted 18 Sep 2006

kiran says
hum kisi ki soch nahin badal sakte per humain chahiye ke hum khud ko to theek karain na khud kjun aise hain..
Posted 20 Sep 2006

Ashii says
optimist aur pessimist k beech mei aik cheez hoti hai
realistic hona
aur woh hum na kabhi the, na honge




true
sab se pehle khud ko theek karein,,,
but gvt level pe jo bhi baat hoti hai na,, it concerns all of us, our coming generations
so isse theek karna hamara hi kaam hai
Posted 21 Sep 2006

hum doosron ko sirf kehte hain...apne aapko nahi dekhte
Posted 22 Sep 2006

Doctor Sam says
SALL said:

optimist aur pessimist k beech mei aik cheez hoti hai
realistic hona
aur woh hum na kabhi the, na honge




true
sab se pehle khud ko theek karein,,,
but gvt level pe jo bhi baat hoti hai na,, it concerns all of us, our coming generations
so isse theek karna hamara hi kaam hai



aray sall.. hum optimistic hain kion k hum realistic hain.. warna to depression se hashar ho jaye..

aor jahan women rights ki baat hey, to aksar logon ko pata hoga is baat ka k Mukhtaaraan maai k case main NGOs ka kafi hath tha.. aor un k kuch benefits bhi thay..
to yahan pe women rights ki baat karna ajeeb e hey.. sirf aik kaam kar lo.. wo ye k is country main ISLAM theek se apply kar lo... phir khud e theek ho jaien gi cheezain..
Posted 24 Sep 2006

kiran says
yeh sahi kaha appne yeh sab se important hai abb wahan ja ker lagta nahin hai ke yeh islami mulak hai
Posted 27 Sep 2006

mmja says
kiran jee itna bhi mayios nahin hotay abhi bhi sahi nahin to thoda bohta to islami hai he yeh man layn len
jahan tak bill ki bat hai to do char batoon ko chodr kar sab bakwas hai or yeh bill govt nay nahin balkaybush kay kehnay pay bana hai
Posted 01 Oct 2006

kiran says
bill ke bare main main kuch nahin jaanti mughey itna pata hai ke hum humari girls humare boys sab islami rawayat bhool chuke hain. Unko kuch pata nahin ke islam kiya hai.
Posted 02 Oct 2006

mmja says
namaz padro achay kam karo baqi uper walay ki marzi
Posted 03 Oct 2006

sun_shine says
kiran said:

hum kisi ki soch nahin badal sakte per humain chahiye ke hum khud ko to theek karain na khud kjun aise hain..



HUM KISI KI SOCH BADAL TO NAHI SAKTAY PER USKI SOCH KO MUTASIR ZAROOR KAR SAKTAY HAIN.
PROBLEM OPER SE SHURU HOTI HAY.IS SYSTEM KO BADALNAY K LIYE KAAFI WAQT LAGAY GA,PER ATLEAST HAMARI ACHI SOCH KISI NA KISI K DIL PE ASAR ZAROOR KARTI HAY.
Posted 04 Oct 2006

Badal says
Ashii said:

tell me one thing yar

hum logon ki zindagi mei konsa kaam shariyat ya islam k mutabik hota hai ??
konse kaam karte wakt hum yeh sochte hein k yeh jayaz hai k najayaz ??

our way of life
living style
society
soch
education
gvt
legislation

nothing is according to shariat
so y do we want "woman rights bill" in accordance with Quran and shariayt ???????????





pagal hein sab
sab k sabbbb pagal ho gae hein
just a way to create more and more pbs



You mean if most of the things are not according to Islam tu baki sab bhi chor dain? Very interesting

Waisay jab bhi "women" ki baat aati tu it always pisses you off

our way of life, living style, society, soch ko Islam kay mutabiq banana aap ka aur humara (AAM AADMI KA) kaam hai aur education & legislation govt ka. Education main kia cheez ghair Islami hai, will you point out? Agar kuch hai tu its minor. Waisay shaid aap kay ilm main nahi ya phir aap nazrain chura leti hain kay kuch sazaon (sentences) ko chor kar buhat say laws Islam kay mutabiq hi hain. Sirf kuch sazaon ki shakal badli gae hai aur kafi as-is hain. For example, hudood laws for both men and women, murder, rebellion, tauheen-e-risaalat etc. Ye aur baat hai kay aap main accept karnay ki courage nahi hai.
Posted 03 Nov 2006

Ashii says
I agree to u daktar
par is mulk mei aurat ko woh azadi de di gai jo Islam deta hai to barson k banae hue "rasm o riwaj" ka kya karein ge

kyun mardon ka hear fail karwane ka irada hai aap ka





badal miyan
hamesha ki tarha aae hein garajte hue aur tanz ki bijliyan girate hue

WELCOME



""""You mean if most of the things are not according to Islam tu baki sab bhi chor dain?""""
baat ka galt matlab nikalna koi aap se seeekhe
hamara matlab tha k agar "for example" ME ASHII agar apni zyada zindagi gair islami tareeke se guzarti hu to mujhe kissi pe khamkha criticise karne ka aur bilawaja k issue banane ka koi haq nahi hai
jaisa k abhi pak mei ho raha hai


u r right,, jab women ki baat aati hai to it pisses me offff
aap bhi agaar badal ki bajae aik BADLI hote to shayad baat ko sahi se samajhte

or may b not,, coz conditioned zehn sochne k liye nahi hote




now without going into any detail
lemme tell ya iss topic ka maqsad kya hai
mujhe sirf itna kehna tha k majority log (jinn se me ne baat ki hai ya suna hai) hudood law ki tabdeeli pe nihayat khafa hein,, yeh jaane bager k pehle laws kya the ab kya ho rahe hein aur hakeekat mei Quran ki taleem kya hein
all i wanted to say is,,,,,, jisse nahi pata iss pange mei na pare aur apna mu band rakhe
like me

aur jisse yeh topic samajh nahi aaya woh bhi
Posted 08 Nov 2006

javad says
Asslam U Alaikum sall kia hal hai..

Hmm baat to tumhri bilkul theek hai.. k humara kuch bhi shariat k mutabik nahi.

lekin hum jis country main rehty hain isay islamic republic bola jata hai... ye islamic ka word saath say hata do to jo marzi karty raho.. jo marzi kanon pas karwa lo..

jitnay ziada hakook aurat ko islam nay diye hain kisi aur mazhab nay nahi diye..

aur ye jo bill ka ajkal bohat shore hai..
dekho Hazoor Salalaah Alaye waslam nay farmaya.. k agar tum koi bura kaam dekho ,suno to usay roko pahly payar say phir sakhti say aur agar tum ye karny kay kabil nahi to atleast uskay against main aon aur dil main to usay bura kaho. kion k burai ka sath denay wala bhi bura hai... main bhi kuch deeply nahi janta is bill kay bary main magar. ye jo zanah ki saza khatam ki.. isay kia hoga.. kher.
Baat sari hamari apni hai.. hum log andar say gumrah ho chukay hain so gaya hai hamara zameer abb hamen burai bhi burai nahi lagti.

bus yar Allah ham par reham kary.. Hamen naik hidayet de aur sahi rasty par chalaye, samjh bojh ata kary.
aur aik muslman banye.

kion k abb hum bus muslman maa baap ki olaad hi rah gaye hain..

ye baten karty hoye hamen doob marna chahye k hamara kuch bhi shariat k mutabik nai.. tum hi bolo kia aik muslman k liye isay barh kar kuch aur wabal ho hosakta hai.. isay bara azab koi aur hai..?

AUR YE JO HAMARY LEADER HAIN.. INKA KOI KASOOR NAHI. kion k Allah nay bara waziah bata dia hai k jesay log hongay unpar wesay hi hukmraan hongay.. aaj hum thek ho jain to sab theek ho jaiga..
Posted 10 Nov 2006

Barsaat says
Ashii said:


all i wanted to say is,,,,,, jisse nahi pata iss pange mei na pare aur apna mu band rakhe
like me

aur jisse yeh topic samajh nahi aaya woh bhi



main samajhnay ki koshish kar rahi hon ...with band mu

bohat mushkil urdu hay...i mean words...cant understand
Posted 12 Nov 2006

Ashii says
thnx javad
zinnah ki saza kis ne khatam ki aur kab ?????

jaise log waise hukmuran <-- AGREEEEE





balichhh aap ko to nahi kaha naaaaaa
konsi mushkil hai yarr,, meri to urdu bohot si simple si hai










lemme add one important thing
abhi sab kehte hein k Paki law (hudood ordinance) mei jo changes aa rahi hein woh US k kehne pe hein
bilkul sahi

par kya woh log yeh jante hien k hudood ordinance nafiz kis ne kiya tha
hamare Mohtaram Zia sahab ne,, jo saans bhi America se puche bager nahi lete the... uss wakt koi kuch kyun nahi bola
Posted 12 Nov 2006

javad says
Ashii said:

thnx javad
zinnah ki saza kis ne khatam ki aur kab ?????

jaise log waise hukmuran <-- AGREEEEE




aray yar... saza main kami.. bhi to samjho khatam hi karna hai na zana ki saza ko mazeed sakht karny ki bajai ye log asan kar rahy hain...

Posted 13 Nov 2006

Barsaat says
i know but main sab ki posts ki bat tal rahi thi Ashi

waisay sab say pahlay to mujhe "Shariat" ka bi sahi matlab nahin malom

and yah hudood... main isko urdu ka word samjhi thi ya wakai urdu ka hi hay... english bi hay to matlab nahin maloom mujhe


...........
and main topic bi nahin samajh pa rahi

"woman rights bill" yah kiya hota hay? auraton k hakooq ka kuch etc lol but sachi yah hay kia?
Posted 13 Nov 2006

Ashii says
javad said:

aray yar... saza main kami.. bhi to samjho khatam hi karna hai na zana ki saza ko mazeed sakht karny ki bajai ye log asan kar rahy hain...


okk got it now,, zina ki nahi fahashi ki saza mei koi kami ki baat chal rahi hai
well,, i wont say anything abt it coz i dont know the difference between these 2 terms




balich
* Shariat or Sharia --> its the religious law in Islam, as Islam is not only a religion but a way of life. these laws cover all aspects of life
* Hudood ordiance --> (hudood = hadd) yeh aik pakistani law ka naam hai jo shariat law ko enforce karta hai. iss ka most known part woh hai which deals with extra-marital relations
hmmm i think 1980/81 mei bana tha yeh,, gnrl Zia k zamane mei


now since aik aur gnrl sahab aae hein jo Pak ko Modern aur Roshan khyal sabit karne liye maloom nahi kya kuch kar rahe hein,, wahin woh aik 'naik kaam' yeh bhi karna chah rahe hein k hudood ordinance mei changes lai ja'ain

the thing isssssssssssssssss..
hamare han jiss cheez pe Islam ka stamp laga ho uss ki taraf hath to kya aankh uthana bhi gunah samjha jata hai
hudood ordinance mei bohot si aisi saza'ain hein jo sirf naam ki Islami hein
par kyun k hum log jahil hien iss liye unhi ko aankhein band kar maane pe majboor hein

inn laws ko jab se change karne ki baat gvt ne cheri hai (which is obvously coz US want us to do so) to poooore mulk mei khalbali mach gai hai

iss topic ka matlab sirf aik hai
me ne abhi tak jitne bhi logon se baat ki hai sab k sab kissi bhi changes k khilaf hein,, when I ask them the reason to kehte hein "yeh sab america k kehna pe hai, logon ko aur azadi dena aur kharab karne k liye hai"
AGREE,,
but jab unn se pucha jae k kya woh jante hein k changes laane ki konsi proposition sahi aur konsi galt hai to koi jawab nahi hota,, they dont know k Islamic law kya kehta hai, konsi saza sahi aur konsi galt hai

to basssss,,
me sirf itna keh rahi thi k jo changes bhalai k liye hein unn ko maan lo,, jo galt hein reject them
but we need to educated ourselves for that,, aur iss ka time nahi hai
Posted 15 Nov 2006

Barsaat says
ahan to aichay likha talain na
ab ai samajh
thankoozz mainay tuch new seekh liya
but is barey main filhal kuch nahin hay kahnay ko



Posted 18 Nov 2006

i tried to understand u a little bit
recently on the news i saw the pakistani hadood rape laws, to be honest i did not know what pakistani law was towards that, it was something like if a woman is raped she needs to have four MALE witnesses for a case i could not believe it. now it is changed to TWO male witnesses, i could not understand why a woman needs two male witnesses for the case, she is not going to the court for fun + with a rape case.

dont kill me if i went off topic
Posted 20 Nov 2006

Ashii says
koi to kuch kahe naaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa



u got the topic right rebel
iss type k laws agar change kiye ja'ain to iss mei koi harj nahi,,
par jo changes abhi aap ne batai i dont understand iss se kya fark pare ga

doest it mean u better find 2 or 4 male witnesses before u get raped
Posted 20 Nov 2006

no if a woman gets raped, she needs (now) two male witnesses so she can go and case against the rapist.

that is what i said, i couldnt understand the law, it didnt make sense to me, if a woman is raped why does she need 2 male witnesses to make a case?

char ya do, mujhe to ye fair nahin laga. i dont know what islam says about this but..

when it comes to women's rights, they turn their backs.
Posted 21 Nov 2006

valandrian says
bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050
bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050
bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050
bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050
bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050
bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050
bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050
bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050
bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050
bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050
bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050bd44050
bd44050
Posted 20 May 2018

Posted 21 Sep 2018

Reply to Topic