Logo

Jesa hun Wesa kion hun...


Posted on 10/6/2006 12:01:01 PM

achhi hai
aik leer say kya toofan utha sakta tha main

Posted on 10/6/2006 1:03:42 PM

alfaz dabey dabey sey hian

Posted on 10/6/2006 1:11:28 PM

dabay dabay se matlab..?

Posted on 10/6/2006 1:36:51 PM

poet kehna bohat kuch cha raha hai per keh nahi paa raha

Posted on 10/6/2006 5:31:28 PM

jo wo kehna chah raha hey, wo hi keh raha hey..

Tum ne poocha to hota.

Posted on 10/6/2006 8:45:16 PM

nahi ghoor karien alfaz per ...


batla sakta tha mein

Posted on 10/6/2006 8:52:42 PM

Doctor Sam:


Naam "Aashiq-e-Tahi Daaman" rakh liya mainn nay
Mohabbat kay bahao ka baha saka na jub" (Rizwan Ashar)

Kisi ki zyaada Khaayal baayaani ko dekh ker khud ko aisay hi tasalli di jaati hay.....I am not agree with Iftikhaar Arif

Posted on 10/7/2006 12:00:38 AM


Posted on 10/7/2006 6:19:06 AM

new_beau:

Naam "Aashiq-e-Tahi Daaman" rakh liya mainn nay
Mohabbat kay bahao ka baha saka na jub" (Rizwan Ashar)

Kisi ki zyaada Khaayal baayaani ko dekh ker khud ko aisay hi tasalli di jaati hay.....I am not agree with Iftikhaar Arif


mujhe nahi lagta k ye khud ko tasalli di gai hey..mujhe to ye expression bohat acha lagta hey...
warna is tarah ki feeling rakhne walay log AKSAR apni feeling ko itni achi tarah express nahi kar patay jis tarah Iftikhar Arif ne kiya hey.
ya shayad isliye ye nazm mujhe bohat pasand hey.
k ye sab mere liye khud kehna aasan nahi tha..

Posted on 10/7/2006 7:31:00 PM

shahrukh khan:
rizwan ashar kahan se a gaya


jahan se baqi sab log aaye hain...
Allah Ta'ala k paas se...

Posted on 10/7/2006 7:32:35 PM

sam bhaiya ... expressions hain per

baat khul ker nahi hai

Posted on 10/7/2006 8:00:43 PM

jis ki aisi feelings hon gi..
awwal to us k liye express karna e mushkil ho ga..

aor agar wo kar bhi paye to is se behter kya keh sakay ga..

Posted on 10/7/2006 8:34:27 PM

kiyoon mera dil shaad nahi hia
kiyoon khamoosh raha karta hoon

Choro meri raam kahani
mein jaisa bhi hoon acha hoon


Mera dil ghamgeen hai tu kiya
ghamgeen hai yeh duniya sarii

yeh dukh tera hai na mera
hum sab kee jageer hai piyaari

Posted on 10/7/2006 8:43:44 PM

baat yeh nahin hay kon kitna express kerta hay ..ya kitna achha express kerta hay..her aik ka apna maqaam hay...Apni achhi baat ko layker chalo..doosronn er qadghan na lagao...keh yeh tou mainn bhi ker sakta tha....Iftikhaar Arif...Farhat Abbas Nahin Ban sakta....Farhat Abbas,...Wasi Shah nahin Ban sakta...Wasi....Adeem nahin ban sakta....

Posted on 10/7/2006 10:55:57 PM

aapko nahi lagta..

Baat aik BAY-BASI k ehsaas ki hey..

aik ehsaas jo sirf mehsoos kiya ja sakta hey..

Posted on 10/8/2006 3:37:01 PM

haan na ..kiyun nahin...Bay Basi ka ehsaas hay ..issi liyey tou apnay aap ko Tasalliyaann di jaa rahi hainn

Posted on 10/8/2006 9:00:59 PM

apnay aaap ko tasalli nahi di ja rahi...
faqat bay-basi ka izhaar ho raha hey...

Posted on 10/8/2006 9:21:26 PM

per mujhay waisa kiyun lag raha hay

Posted on 10/8/2006 9:42:50 PM

Hmmm iska reply kar karain gay..

Aaj hum thakk gaye hain...
Khushi aor excitement bhi insaan ko thaka deti hey.
kya ajeeb kahani hey.. kya AJEEB insaan...

Posted on 10/8/2006 9:52:46 PM

kaafo gift milay kya .... aur woh bhi aaye kya

Posted on 10/8/2006 10:02:12 PM

bohat saray gifts.. itnay k sanbhalna mushkil hey..

Pehla gift.. Noor ki taraf se aik wish card tha tweety wala. jo us ne mujhe aatay hi de diya.
Phir Nayab aor Nokhaiz k wish cards.

Bohat dher sari duien mili hain... Pyar mila hey... Alhamd-o-Lillah..
Meri ammi jaan ne kal meri pasand ka khana pakaya..

what other gift do i need..?

WO... wo kon hain?

Posted on 10/9/2006 1:34:17 PM

wohi..............nooorrrrrr

Posted on 10/9/2006 1:37:10 PM

nahin...woh...yaaani mehmaan

Posted on 10/12/2006 1:07:51 AM

lovvvve this poet


but yeh poem ka "khayl" nahi pasand aaya
i hate regrets

Posted on 10/12/2006 2:50:30 AM

new_beau:
nahin...woh...yaaani mehmaan


mehmaan to koi tha hi nahi...

Posted on 10/12/2006 9:16:46 PM

Ashii:
lovvvve this poet


but yeh poem ka "khayl" nahi pasand aaya
i hate regrets


Poem ka khayal...

mere khayal main to ye EXPRESSION hey... Catharsis..

Posted on 10/12/2006 9:18:06 PM

Doctor Sam:
Hmmm iska reply kar karain gay..

Aaj hum thakk gaye hain...
Khushi aor excitement bhi insaan ko thaka deti hey.
kya ajeeb kahani hey.. kya AJEEB insaan...


"kal" reply kerna tha..magar woh kal kabhi nahin aayee.

Posted on 5/11/2009 11:07:56 PM