Logo

yaadein........

maaf karna dostoon lekin thora sad topic hai masti wala aap log karogay


yeh yaadein kyu aati hai?
jaanay walay ke saath chali kyu nai jaati?

kissi ko pata ho to batao yaar

Posted on 10/28/2006 11:12:10 PM

yadeen janye ke baad hi tu atti hain
jab koi pass hota hai tab tu kab atti hain

jab woh chala jata hia tu bas yadyen hi reh jati hain
and ab yadyen achi hon ya buri yeh tu kismet ki baat hai

Posted on 10/28/2006 11:27:37 PM

na janey kiyoon yaadien aati hai .. wakai yeh chali kiyoon nahi jaati

Posted on 10/29/2006 9:43:00 PM

yaad karke to dil ghum mei mubtila hojata bhalay achi ho ya buri
ek khamooshi si chahjati hai jab kissi ki yaad aati hai

Posted on 10/29/2006 10:37:29 PM

woh tu haiiiiiiiii


Posted on 10/29/2006 10:49:40 PM

yar one thing is done jab koi app k paas ho to yaad to aa nahi sakti

ab jab koi jata hay to yaad aati hay na

Posted on 10/30/2006 7:07:30 AM

kiya tha per ab yaad nai

Posted on 10/30/2006 8:19:22 PM

yeh yadein bari zalam hotin hain friends, jab insaan ko yaad ati hai to sab kuch aankhon ke age phir se ghoom jata hai aise lagta hai jaise insaan appne ussi pyare mahool main phir raha hai per jab insaaan in yadoon ke paloon ko catch kerna chahta hai to kuch haath nahin aata bas udaasi reh jati hai aur tanhai.

yaad hai humko teri woh pehli baat
woh suhani raat woh pyari barsaat

Posted on 10/30/2006 9:43:00 PM

mukarrar karta hoo

yaad hai humko teri woh pehli baat
woh suhani raat woh pyari barsaat
jab hum thay saath
haath mei thay haath

Posted on 10/30/2006 9:47:39 PM

yaad hai humko woh pal woh manzir
jab bijhre thai hum un rahoon per

Posted on 10/30/2006 9:50:23 PM

aankhein num thi teray ishq se
akelay na hum thay teray ishq se

Posted on 10/30/2006 10:39:38 PM

ab aankehin num hai
dil mei teri judaai ka gham hai
aur ab akelay hum hai........

Posted on 10/30/2006 10:40:31 PM

akele rehte humko abb to sadiyaan guzer gaeen
kitne mausam guzre kitni hawaeen guzer gaeen

Posted on 10/30/2006 10:41:46 PM

OK friends khuda hafiz will meet tomorrow inshallah tention na lo cuty app ke exam theek ho jaeen gai

Posted on 10/30/2006 10:45:03 PM

hmmmmmmm

Posted on 10/30/2006 10:45:16 PM

sub cheez duur hogayee
bus teri yaad nayee


chalo kiran jee u tc hf

Posted on 10/30/2006 10:52:25 PM

chup jati hain aaina dikha ker tari yadain
sone nahi dateen mujhe shab bher tari yadain

yadain insan ko zindagi se door ker dati hain

Posted on 10/31/2006 7:19:27 PM

jab bhi ankh band hoto tu chala ata hai
abb nennd bhi meri nahin tera pehra hai

Posted on 10/31/2006 9:02:32 PM

app bhi kuch suna diya karain janaab

Posted on 10/31/2006 9:23:25 PM

na dhoop rahi na chaoo meri zindagi mein
na roop na rang rahay iss zindagi mein

zindagi kath gayee
apko yaad karte karte
maut bhi na milli
maut ki khuwahish karte karte

Posted on 10/31/2006 10:21:13 PM

itni choothi si umer main maut ki khuwahish very sad yaar

Posted on 10/31/2006 10:27:32 PM

kya karein pyaar mei har jao to yehi hota hai

Posted on 10/31/2006 10:38:35 PM

ye yaden hain to ati hai naa...

Posted on 11/1/2006 9:38:44 AM

jab yaad tumhare saath hai to tum in se peecha nahin chura sakte mujrim ho tum per maro to na kam az kam eik do jinhon ne tumhain dhokha diya hai tikhane laga ker maro.

Posted on 11/1/2006 5:44:08 PM

larkiyon ko kis tarha maroo
dil nai manta keh uska dil dhukaoo jisse mei pyaar karta tha ya hoo

Posted on 11/1/2006 7:28:49 PM

ladki ho yah ladka kisi ko dhoka daina jurm hai aur mujrim ko saza to milni hi chahiye

waise raaz ki baat hai maine bhi dhokha daine waloon se pyar hi kiya hai ajj tak

Posted on 11/1/2006 10:45:40 PM

maine bhi
dhoka zyada khaya hai diya ek baar hai

Posted on 11/1/2006 11:58:48 PM

haye....ye larkiann itnii bewafa...

Posted on 11/2/2006 8:50:23 AM

kya karein yeh inki fitrat mei hai

Posted on 11/2/2006 7:51:50 PM

kiran:
jab bhi ankh band hoto tu chala ata hai
abb nennd bhi meri nahin tera pehra hai


wah jee wah

kiya baat kahi hai


Posted on 11/2/2006 11:02:10 PM

kaash yeh larkiyan bewafa na hoti
jeenay ka maza hamay bhi aata
jab koi larka bewafayee karke chala jaata
jeenay ka maza hamay jab aata

Posted on 11/3/2006 3:17:54 PM