waisay aapko itnay ziyada shair kaisay aatay hain.
jo meri aankhon se khwaab dekho
to ek bhi shab na so sako gay
kay laakh chaho na hans sako gay
hazaar chaho na ro sako gay
kay khwaab kya hain,azaab hain yeh
mairay dukhon ki kitab hain yeh
rafakatein in may chootti hain
mohabatein in main rothti hain
panapti hain in may wehshatain si
aziyatein in may phootti hain
inhi kay darr se khizaa hay jazbay
inhi say shaakain si phootti hain
ghamon ki bandish hay khwaab mairay
dukhho ki baarish hain khwaab mairay
ubal raha hain dukhon ka laawa
raheen atish khwaaab hain mairay
khyaal saray jhulas gaye hain
sulagti khwahish hay khwaab mairay
ukharti saansein hain zindagi ki
lahoo ki saazish hain khwaab mairay
jo meri aankhon se khwaab dekho
to ek shab bhi na so sako gay
thanks
per hum inshallah koshish zaroor karaingay kay unko hamari wja se koi dukh ya takleef na ho.