true story

2907 views 47 replies
Reply to Topic
mmja

Age: 124
Total Posts: 3835
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
yhe mainay jeo super pay suni hai
pak ka aik player tha first class main jo kay kafi acha tha or usay shoib mohamad nay khud khayla tha or kafi pasend keyia tha woh bechara kafi dor say karachi khaylnay ata tha har roz uska anay janay pay 50 rupee kharach hotay thay jo kay uskay liay posible nahin thay jalaludin ki nay board say request ki kay usay 100 rupee mean kay 3000 per month deyia jaye takay woh bechara khayel sakay jis pay board nay kaha kay uska talik karachi say nahin hai jiski wajah say woh usay suport nahin karayngay ager usay khaylna hai to koita ja kay khaylay jahan ka pay uska regular kharach 50 ki bajaye 200 ata tha srif board ki is harkat ki wajah say woh bechara cricket chor geyia yeh hal hai abhi tak pak kay board ka politics ki jan hi nahin chortay yeh loog
Posted 23 Nov 2006

sun_shine says
yeh player balochistan kay thay kya?yahan aisa hi hota hain.khaas kar balochistan kay logo kay saath.board ko aisa nahi karna chahiye tha.jahan board itnay kharchay bardasht karta hain wahan yeh mamooli si rakam kya maini rakhti hain.per yeh kisi ki zindagi ka mor badal sakti thi.
Posted 23 Nov 2006

mmja says
han usi side kay thay yeh raqim ka nahin sara politics ka masla hai yahan yehi kuch hota hai yeh to abhi boht chotay level ki bat hai ap asim kamal hi ki masal lay layn us becharay ki performence bhi hai lakin pata nahin usay kyion team say bahir rakha huwa hai or mainay to yahan tak suna hai hamaray poranay chairmen sahib nay yeh bhi kaha tha kay ager asim ko team main ana hai to woh opening main apni kismat try karay yeh kyia bat hai bhala jis number ka player hai usay wahan khalan chaye na
Posted 24 Nov 2006

sun_shine says
yaa in logon main imandari baki hi nahi rahi.
bhalay hi inkay samnay yeh mamooli baat hain
per yeh kisi ki zindagi ka sawaal hain.
aisay buhat se players hain jinka yehi haal hain.
Posted 24 Nov 2006

not touchin my heart
Posted 24 Nov 2006

sun_shine says
why?
Posted 25 Nov 2006

mmja says
sun_shine said:

yaa in logon main imandari baki hi nahi rahi.
bhalay hi inkay samnay yeh mamooli baat hain
per yeh kisi ki zindagi ka sawaal hain.
aisay buhat se players hain jinka yehi haal hain.


yehi to sara masla hai jo bhi power main ata hai srif yeh daykhta hai mera fayida ksi cheez main hai dosray ka kabhi khyial nahin karta
Posted 27 Nov 2006

mmja says
Frankenstein said:

not touchin my heart


zarori nahin jo bat aik ko touch karay woh dosray ko bhi karay different peole has diff heart and diif hear has diff feelings
Posted 27 Nov 2006

mmja said:

han usi side kay thay yeh raqim ka nahin sara politics ka masla hai yahan yehi kuch hota hai yeh to abhi boht chotay level ki bat hai ap asim kamal hi ki masal lay layn us becharay ki performence bhi hai lakin pata nahin usay kyion team say bahir rakha huwa hai or mainay to yahan tak suna hai hamaray poranay chairmen sahib nay yeh bhi kaha tha kay ager asim ko team main ana hai to woh opening main apni kismat try karay yeh kyia bat hai bhala jis number ka player hai usay wahan khalan chaye na



players itney hein ke wo ab kis kis ko khalae??
Posted 27 Nov 2006

sun_shine says
jo mulk ko represent karnay kay laik ho unko chance dena chahiye.
Posted 27 Nov 2006

mmja says
mr nice guy said:

mmja said:

han usi side kay thay yeh raqim ka nahin sara politics ka masla hai yahan yehi kuch hota hai yeh to abhi boht chotay level ki bat hai ap asim kamal hi ki masal lay layn us becharay ki performence bhi hai lakin pata nahin usay kyion team say bahir rakha huwa hai or mainay to yahan tak suna hai hamaray poranay chairmen sahib nay yeh bhi kaha tha kay ager asim ko team main ana hai to woh opening main apni kismat try karay yeh kyia bat hai bhala jis number ka player hai usay wahan khalan chaye na



players itney hein ke wo ab kis kis ko khalae??

yara khilanay ki to bat hi nahin ho rahi srif 300 thousend par month dayna tha kyionkay is main kuch tha khaylta to woh apnay dum pay lakin hamayn gharib players ka khyial rakhna hoga
Posted 28 Nov 2006

mmja says
agree with ss je or king of jb jab mainay yeh show daykha tha to ap yakeen karayn mughay bhi rona a geyia tha or fakhiray alim bhi ro raha tha yeh sunkay
Posted 28 Nov 2006

sun_shine says
yeh show kab hota hain?
Posted 28 Nov 2006

mmja says
JEO SUPER pay live ata hai regularly raat ko 10 say 12 aksar esi hiden stories sunnay ko milti hain
abhi kal mushi ayia huwa tha woh becharay ko aik hi time pay englaind or pak say coaching ki offer hoye thi usnay pesay ko chor kay country ko chuna lakin india janay say srif aik ghenta pehlay usay hata deyia geyia bina kisi bhi reason kay
Posted 29 Nov 2006

sun_shine says
to yehi to haal hota hain hum asians ka agar hum country k liye kuch karna chahay to.
Posted 29 Nov 2006

mmja says
bus ager koi bechara karta hai to yeh hal kartay hain jo nahin karta usay gadar shadar pata nahin kyia kyia kehtay rehtay hain aik ka phone ayia us sahib kay irshadat check karayn woh kehtay hain kay imran khan ko pak say mohabat nahin hai isliay woh pak ki coaching nahin kartay or wsim akram pak ka ghadra hai kyionkay usnay irfan pathan ko tips di thi
Posted 30 Nov 2006

sun_shine says
i think kisi ko tips dena gadaari to nahi hain.
Irfan Pathan ek naye player hain agar Wasim akram jee unko kuch tips de detay hain to is main koi harj nahi.
i think Mr.Imran khan politics main buhat musroof hain isi liye woh coaching nahi kar saktay shayad.
Posted 30 Nov 2006

mmja says
yehi to bat hai na jo hamari bholi awam ko samgh nahin ati criket main koi boundries nahin hai ager esa hai to aksar countries dosray mulkon kay coath kyioin hire kartay hain yeh to aik crikter ki job hai usnay jo bhi sikha hai woh dosron ki sikhaye like a teacher
imran khan sahib politics,hospital main boht busy hain or wesay bi onho nay kaha hai ager kabhi bhi unki tipe chaye hon to woh hazar hain lakin full time job nahin kars aktay
Posted 01 Dec 2006

sun_shine says
yaa thats right
Posted 01 Dec 2006

mmja says
apkay khyial main is dafa ashes kon jhetayga
Posted 02 Dec 2006

sun_shine says
i think shayad england jeetay.aapka kya khayal hain?
Posted 02 Dec 2006

mmja says
dil to yehi karta hai par lagta nahin is dafa ause ki team pehlay say achi hai or unka home ground bhi hai or engl ki tem last time kay mukablay main achi nahin hai eng jones ko zeyiada mis karayga compare to tras or vaghun
Posted 05 Dec 2006

sun_shine says
yaa England ki team main is saal dam nahi. Australia kay players buhat over hotay hain.
Posted 06 Dec 2006

mmja says
jo janta hai us main kuch hai woh baz dafa over ho hi jata hai or kafi had tak unko yeh haq bhi hai akhir 7 years say world cham hain damagh to kharab hona hi tha na
second test jis tarahn eng hara hai mughay nahin lagta ab woh fight back kar sakay boht besti hoye hai unki m.vaghun suna hai 4th test main shayed khaylay
Posted 07 Dec 2006

sun_shine says
ab to yehi haal hota hain haar kay baad.team main change players lay aatay hain.ab unhi players per mehnat kejiye kyunki aik player pe depend karna mehenga saabit ho sakta hain.
Posted 07 Dec 2006

mmja says
bilkul lakin mughay unki selection pasend nahin aye achlay jiles bilkul farigh bowler hai uper say itnay time kay bad ayia hai usko khala samgh nahin ayia second pak kay khalaf sajid or plankut ko khilatay rahay or ab achanik ashes main anderson ki khila deyia
Posted 08 Dec 2006

sun_shine says
yaa
inki selection main garbar hain.
Posted 10 Dec 2006

mmja says
un main tellent ki bhi thori kami hai is dafa to unka wapis ashes main na mushkil hi nahin na mumkin bhi hai
Posted 11 Dec 2006

sun_shine says
acha,inkay matches itnay khaas nahi hotay,ya shayad main nahi dekhti
asli maza to India pakistan series main aata hain.
Posted 12 Dec 2006

mmja says
yeh to hai pak india kay matches ki to bat hi apni hai woh to aik alag hi nasha hai
wesay baz dafa ager teams braber ki hon to matches boht achay hotay hain
Posted 13 Dec 2006

sun_shine says
ya sahi kaha aap nay.
agar 2 mazboot teams khelain to acha mukabla
dekhnay ko milta hai.
Posted 13 Dec 2006

Reply to Topic